Shayari
muflison ki zindagi kaa zikr kyaa
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
aap aae to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa

muflison ki zindagi kaa zikr kyaa
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
zaraa jo ham ne unhein aaj mehrbaan dekhaa
na ham se puchhiye kyaa rang-e-aasmaan dekhaa
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho
kyaa mazaa deti hai bijli ki chamak mujh ko 'riyaaz'
mujh se lipTe hain mire naam se Darne vaale
gham mujhe dete ho auron ki khushi ke vaaste
kyuun bure bante ho tum naahaq kisi ke vaaste
vasl ki raat ke sivaa koi shaam
saath le kar sahar nahin aati
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi
naqsh-e-qadam hain raah mein farhaad-o-qais ke
ai ishq khinch kar mujhe laayaa idhar kahaan
tamaam vahm o gumaan hai to ham bhi dhoka hain
isi khayaal se duniyaa ko main ne pyaar kiyaa
tum chitaa in ki jalaao na karo dafn inhein
pyaar ke khat hain ye hindu yaa musalmaan nahin