Shayari
na-jaane kaisi nigaahon se maut ne dekhaa
hui hai niind se bedaar zindagi ki main huun
kabhi kabhi to achchhaa-khaasaa chalte chalte
yuun lagtaa hai aage rasta koi nahin hai
کبھی کبھی تو اچھا خاصا چلتے چلتے
یوں لگتا ہے آگے رستہ کوئی نہیں ہے
कभी कभी तो अच्छा-ख़ासा चलते चलते
यूँ लगता है आगे रस्ता कोई नहीं है

na-jaane kaisi nigaahon se maut ne dekhaa
hui hai niind se bedaar zindagi ki main huun
jaane phir munh mein zabaan rakhne kaa masraf kyaa hai
jo kahaa chaahte hain vo to nahin kah sakte
aisaa kyaa andher machaa hai mere zakhm nahin bharte
log to paara paara ho kar juD jaate hain lamhe mein
naqsh jab zakhm banaa zakhm bhi naasur huaa
jaa ke tab koi masihaai pe majbur huaa
aaj sochaa hai ki khud raste banaanaa siikh luun
is tarah to umr saari sochti rah jaaungi
mayassar khud nigah-daari ki aasaaish nahin rahti
mohabbat mein to pesh-o-pas ki gunjaaish nahin rahti