Shayari
main us ko bhuul gayaa thaa vo yaad saa aayaa
zamin hili to main samjhaa ki zalzala aayaa
vo junun ko baDhaae jaaeinge
un ki shohrat hai meri rusvaai
وہ جنوں کو بڑھائے جائیں گے
ان کی شہرت ہے میری رسوائی
वो जुनूँ को बढ़ाए जाएँगे
उन की शोहरत है मेरी रुस्वाई

main us ko bhuul gayaa thaa vo yaad saa aayaa
zamin hili to main samjhaa ki zalzala aayaa
chali hai mauj mein kaaghaz ki kashti
use dariyaa kaa andaaza nahin hai
main vo maani-e-gham-e-ishq huun jise harf harf likhaa gayaa
kabhi aansuon ki bayaaz mein kabhi dil se le ke kitaab tak
kaun tu hai kaun main kaisi vafaa
haasil-e-hasti hain kuchh rusvaaiyaan
ik patinge ne ye apne raqs-e-aakhir mein kahaa
raushni ke saath rahiye raushni ban jaaiye
ik aag si jalti rahi taa-umr lahu mein
ham apne hi ehsaas mein pakte rahe taa-der