Shayari
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
savaal ye nahin kis kis ko koi samjhaae
savaal ye hai ki kyaa kyaa samajh rahaa hai koi
سوال یہ نہیں کس کس کو کوئی سمجھائے
سوال یہ ہے کہ کیا کیا سمجھ رہا ہے کوئی
सवाल ये नहीं किस किस को कोई समझाए
सवाल ये है कि क्या क्या समझ रहा है कोई

ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
koi hayaat ke maani bataa ke samjhaae
tavil kyaa hai bhalaa mukhtasar kaa kyaa matlab
jab bhi kashti bhanvar mein aai hai
ik du'aa bhi asar mein aai hai
hamein qubul nahin chhoTaa munh baDi baatein
misaal bante hain aur phir misaal dete hain
sirf kahne ko hai nai duniyaa
vo hi dastur hai vahi duniyaa