Shayari
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
jab bhi kashti bhanvar mein aai hai
ik du'aa bhi asar mein aai hai
جب بھی کشتی بھنور میں آئی ہے
اک دعا بھی اثر میں آئی ہے
जब भी कश्ती भँवर में आई है
इक दु'आ भी असर में आई है

hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
koi hayaat ke maani bataa ke samjhaae
tavil kyaa hai bhalaa mukhtasar kaa kyaa matlab
hamein qubul nahin chhoTaa munh baDi baatein
misaal bante hain aur phir misaal dete hain
sirf kahne ko hai nai duniyaa
vo hi dastur hai vahi duniyaa
jahaan pe khatm huaa karti hain khirad ki hadein
vahin se asl mein hotaa hai dil kaa kaam shuru'
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
abr barse to inaayat us ki
shaakh to sirf duaa karti hai
kaT gai ehtiyaat-e-ishq mein umr
ham se izhaar-e-muddaaa na huaa
shaikh kaabe mein ye duaa maango
'mehr' ho but-kada ho duniyaa ho