Shayari
jab chali apnon ki gardan par chali
chuum luun munh aap ki talvaar kaa
tum salaamat raho qayaamat tak
aur qayaamat kabhi na aae 'shaad'
تم سلامت رہو قیامت تک
اور قیامت کبھی نہ آئے شادؔ
तुम सलामत रहो क़यामत तक
और क़यामत कभी न आए 'शाद'

jab chali apnon ki gardan par chali
chuum luun munh aap ki talvaar kaa
jahaan-e-dard mein insaaniyat ke naate se
koi bayaan kare meri daastaan hogi
shaikh par haath uThaane ke nahin ham qaael
haath uThaane ki jo Thaani hai to baatil se uThaa
ab unhein tashrif laanaa chaahiye
raat mein likhti hai raani raat ki
kahin fitrat badal sakti hai naamon ke badalne se
janaab-e-shaikh ko main barhaman kah duun to kyaa hogaa
dekh kar shaair ne us ko nukta-e-hikmat kahaa
aur be-soche zamaane ne use ''aurat'' kahaa