Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
aise bhaTak rahaa hai kharaabe mein aadmi
jaise use kabhi bhi hidaayat nahin mili
ایسے بھٹک رہا ہے خرابے میں آدمی
جیسے اسے کبھی بھی ہدایت نہیں ملی
ऐसे भटक रहा है ख़राबे में आदमी
जैसे उसे कभी भी हिदायत नहीं मिली

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa