Shayari
dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
bichhDe logon se mulaaqaat kabhi phir hogi
dil mein ummid to kaafi hai yaqin kuchh kam hai
بچھڑے لوگوں سے ملاقات کبھی پھر ہوگی
دل میں امید تو کافی ہے یقیں کچھ کم ہے
बिछड़े लोगों से मुलाक़ात कभी फिर होगी
दिल में उम्मीद तो काफ़ी है यक़ीं कुछ कम है

dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahin koi
kyuun vaqt ek moD pe Thahraa huaa saa hai
zabaan mili bhi to kis vaqt be-zabaanon ko
sunaane ke liye jab koi daastaan na rahi
safar kaa nashsha chaDhaa hai to kyuun utar jaae
maza to jab hai koi lauT ke na ghar jaae
har taraf apne ko bikhraa paaoge
aainon ko toD ke pachhtaaoge
bataaun kis tarah ahbaab ko aankhein jo aisi hain
ki kal palkon se TuuTi niind ki kirchein sameTin hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki divaar par sivaa us ke
rang duujaa koi chaDhaa hi nahin
dimaagh ko kar rahaa huun raushan main daagh-e-dil ke jalaa rahaa huun
ab apni taarik zindagi kaa nayaa saraapaa banaa rahaa huun
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai