Sher
ham kis ko dikhate shab-e-furqat ki udasi
sab khvab men the raat ko bedar hamin the

Taashshuq Lakhnavi
ham kis ko dikhate shab-e-furqat ki udasi
हम किस को दिखाते शब-ए-फ़ुर्क़त की उदासी
kabhi to shahidon ki qabron pe aao
कभी तो शहीदों की क़ब्रों पे आओ
aamad aamad hai khizan ki jaane vaali hai bahar
आमद आमद है ख़िज़ाँ की जाने वाली है बहार
jis taraf baiThte the vasl men aap
जिस तरफ़ बैठते थे वस्ल में आप
jalunga main ki dil us but ka ghair par aaya
जलूँगा मैं कि दिल उस बुत का ग़ैर पर आया
vo khaDe kahte hain meri laash par
वो खड़े कहते हैं मेरी लाश पर
ham kis ko dikhate shab-e-furqat ki udasi
sab khvab men the raat ko bedar hamin the
kabhi to shahidon ki qabron pe aao
ye sab ghar tumhare basa.e hue hain
aamad aamad hai khizan ki jaane vaali hai bahar
rote hain gulzar ke dar baghban khole hue
jis taraf baiThte the vasl men aap
usi pahlu men dard rahta hai
jalunga main ki dil us but ka ghair par aaya
uDegi aag ki patthar gira hai patthar par
vo khaDe kahte hain meri laash par
ham to sunte the ki niind aati nahin
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
mauj-e-dariyaa se balaa ki chaahiye kashti mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karun
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
har taraf hashr mein jhankaar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftaar chale aate hain
muntazir tere hain chashm-e-khun-fishaan khole hue
baiThe hain dil bechne vaale dukaan khole hue