Shayari
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
جب تلک شیشہ رہا میں بارہا توڑا گیا
بن گیا پتھر تو سب نے دیوتا مانا مجھے
जब तलक शीशा रहा मैं बार-हा तोड़ा गया
बन गया पत्थर तो सब ने देवता माना मुझे
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ai 'mushafi' ustaad-e-fan-e-rekhta-goi
tujh saa koi aalam ko main chhaanaa nahin miltaa
kyaa kaam kiyaa tum ne thi ye bhi adaa koi
parde se nikal aanaa aur ji mein samaa jaanaa
dikhaae paanch aalam ik payaam-e-shauq ne mujh ko
ulajhnaa ruThnaa laDnaa bigaDnaa duur ho jaanaa
kyaa khaana-kharaabon kaa lage tere Thikaanaa
us shahr mein rahte hain jahaan ghar nahin hotaa