Shayari
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
bahut bhaTke to ham samjhe hain ye baat
buraa aisaa nahin apnaa makaan bhi
بہت بھٹکے تو ہم سمجھے ہیں یہ بات
برا ایسا نہیں اپنا مکاں بھی
बहुत भटके तो हम समझे हैं ये बात
बुरा ऐसा नहीं अपना मकाँ भी

bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
vo basti naa-khudaaon ki thi lekin
mile kuchh Dubne vaale vahaan bhi
jaise ye mez miTTi kaa haathi ye phuul
ek kone mein ham bhi hain rakkhe hue
kis tarah aae hain is pahli mulaaqaat talak
aur mukammal hai judaa hone ki tayyaari bhi
kahin na thaa vo dariyaa jis kaa saahil thaa main
aankh khuli to ik sahraa ke muqaabil thaa main
manzilon par ham milein ye tai huaa
vaapsi mein saath pakkaa kar liyaa