Shayari
is tarah chashm-e-nim-vaa ghaafil bhi thi bedaar bhi
jaise nasha ho raat kaa yaa subh kaa taDkaa huaa
havaa kaa tabsira ye saakinaan-e-shahr pe thaa
ajiib log hain paani pe ghar banaate hain
ہوا کا تبصرہ یہ ساکنان شہر پہ تھا
عجیب لوگ ہیں پانی پہ گھر بناتے ہیں
हवा का तब्सिरा ये साकिनान-ए-शहर पे था
अजीब लोग हैं पानी पे घर बनाते हैं

is tarah chashm-e-nim-vaa ghaafil bhi thi bedaar bhi
jaise nasha ho raat kaa yaa subh kaa taDkaa huaa
main par-shikasta na thaa baadalon ke biich magar
miri uDaan kaa zanjir se lipaT jaanaa
hai taa-hadd-e-imkaan koi basti na bayaabaan
aankhon mein koi khvaab dikhaai nahin detaa
ik chaand hai aavaara-o-betaab o falak-taab
ik chaand hai aasudgi-e-hijr kaa maaraa
lazzat-e-did khudaa jaane kahaan le jaae
aankh hoti hai to hotaa nahin qaabu dil par
kahin bhi taair-e-aavaara ho magar tai hai
jidhar kamaan hai udhar jaaegaa kabhi na kabhi