Shayari
tujhe gale se lagaa ke bhi dekhaa jaaegaa
abhi to mujh ko tiraa intizaar karnaa hai
khuub mushkil hai par aasaan liyaa jaataa hai
kitnaa halke mein ye insaan liyaa jaataa hai
خوب مشکل ہے پر آسان لیا جاتا ہے
کتنا ہلکے میں یہ انسان لیا جاتا ہے
ख़ूब मुश्किल है पर आसान लिया जाता है
कितना हल्के में ये इंसान लिया जाता है

tujhe gale se lagaa ke bhi dekhaa jaaegaa
abhi to mujh ko tiraa intizaar karnaa hai
yuun apne aap ko barbaad kartaa hai koi
ai mere dil tu samajhdaar hai nahin hai kyaa
husn hotaa hai kisi shai kaa koi apnaa hi
aur phir dekhne vaale ki nazar hoti hai
banaataa huun main tasavvur mein us kaa chehra magar
har ek baar nai kaaenaat banti hai
aur bhaTkeinge to kuchh aur nayaa dekheinge
ham to aavaara parinde hain hamaaraa kyaa hai
ab to main aur bhi buraa huun ki
ab ziyaada sudhar gayaa huun main