Shayari
yuun apne aap ko barbaad kartaa hai koi
ai mere dil tu samajhdaar hai nahin hai kyaa
tujhe gale se lagaa ke bhi dekhaa jaaegaa
abhi to mujh ko tiraa intizaar karnaa hai
تجھے گلے سے لگا کے بھی دیکھا جائے گا
ابھی تو مجھ کو ترا انتظار کرنا ہے
तुझे गले से लगा के भी देखा जाएगा
अभी तो मुझ को तिरा इंतिज़ार करना है

yuun apne aap ko barbaad kartaa hai koi
ai mere dil tu samajhdaar hai nahin hai kyaa
husn hotaa hai kisi shai kaa koi apnaa hi
aur phir dekhne vaale ki nazar hoti hai
banaataa huun main tasavvur mein us kaa chehra magar
har ek baar nai kaaenaat banti hai
aur bhaTkeinge to kuchh aur nayaa dekheinge
ham to aavaara parinde hain hamaaraa kyaa hai
ham to kahte hain mohabbat mein mazaa hai hi nahin
aap kahte hain to phir maan liyaa jaataa hai
ab to main aur bhi buraa huun ki
ab ziyaada sudhar gayaa huun main
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
raat dil ko thaa sahar kaa intizaar
ab ye gham hai kyuun saveraa ho gayaa
ye bhi ik raat kaT hi jaaegi
subh-e-fardaa ki muntazir hai nigaah
haalaat kah rahe hain ki ab vo na aaeinge
ummid kah rahi hai zaraa intizaar kar