Shayari
tere hote bhi sab kharaab hi thaa
aur phir aaj kal to tu bhi nahin
jo tiri justuju mein chhoD diyaa
us kaa nemul-badal to tu bhi nahin
جو تری جستجو میں چھوڑ دیا
اس کا نعم البدل تو تو بھی نہیں
जो तिरी जुस्तुजू में छोड़ दिया
उस का नेमुल-बदल तो तू भी नहीं

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi