Shayari
kuchh bhi dekhaa nahin thaa main ne jab
har nazaara thaa meri aankhon mein
Z
Zakariya Shazjaane kyaa baat hai puure hi nahin hote hain
jaane kyaa dil mein khasaare liye phirtaa huun main
جانے کیا بات ہے پورے ہی نہیں ہوتے ہیں
جانے کیا دل میں خسارے لیے پھرتا ہوں میں
जाने क्या बात है पूरे ही नहीं होते हैं
जाने क्या दिल में ख़सारे लिए फिरता हूँ मैं
kuchh bhi dekhaa nahin thaa main ne jab
har nazaara thaa meri aankhon mein
ai gardish-e-ayyaam hamein ranj bahut hai
kuchh khvaab the aaise ki bikharne ke nahin the
taalluq hi nahin hai jin se meraa
main un khadshaat mein rakkhaa huaa huun
dukh na sahne ki sazaaon mein ghiraa rahtaa hai
shahr kaa shahr duaaon mein ghiraa rahtaa hai
ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
varna dekhaa hi nahin teri talab se aage
jab bhi ghar ke andar dekhne lagtaa huun
khiDki khol ke baahar dekhne lagtaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ik tum ki dil mein dard kisi ghair ke liye
ik ham ki dard ban gae khud aap ke liye
husn ki devi bani baiThi hain dil hai but-kada
chand muslim laDkiyon ne ham ko hindu kar diyaa
magar is khaamushi se ahl-e-dil kaa kuchh bharam to hai
jo kuchh kahiye to saari umr ki mahrumiyaan kahiye
taskin-e-dil-e-mahzun na hui vo sai-e-karam farmaa bhi gae
is sai-e-karam ko kyaa kahiye bahlaa bhi gae taDpaa bhi gae