Shayari
tiri aavaaz-e-paa samjhaa thaa jis ko
mire hi dil ki ye dhaDkan hai saahab
faqat ki thi himaayat sach ki main ne
ye duniyaa jaan ki dushman hai saahab
فقط کی تھی حمایت سچ کی میں نے
یہ دنیا جان کی دشمن ہے صاحب
फ़क़त की थी हिमायत सच की मैं ने
ये दुनिया जान की दुश्मन है साहब

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa