Shayari
mujh se naaraaz bhi nahin hai vo
aur us ko manaa rahaa huun main
apne hone kaa hai ehsaas tire hone se
ghair mumkin hai miraa tujh se judaa ho jaanaa
اپنے ہونے کا ہے احساس ترے ہونے سے
غیر ممکن ہے مرا تجھ سے جدا ہو جانا
अपने होने का है एहसास तिरे होने से
ग़ैर मुमकिन है मिरा तुझ से जुदा हो जाना

mujh se naaraaz bhi nahin hai vo
aur us ko manaa rahaa huun main
muddaton khud se mulaaqaat nahin hoti hai
raat hoti hai magar raat nahin hoti hai
sau baar TuTne pe bhi haaraa nahin huun main
miTTi kaa ik charaagh huun taaraa nahin huun main
us ne itnaa kiyaa nazar-andaaz
sab ki nazron mein aa gae hain ham
fazaaein raqs mein hain aur baras rahi hai sharaab
kisi ne jaam su-e-asmaan uchhaalaa hai
main din ke ujaale mein tujhe soch rahaa huun
mahsus ye hotaa hai ki kuchh raushni kam hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
honTon par ik baar sajaa kar apne honT
us ke baad na baatein karnaa so jaanaa
bichhaDte vaqt anaa darmiyaan thi varna
manaanaa donon ne ik dusre ko chaahaa thaa
banaanaa paDtaa hai apne badan ko chhat apni
aur apne saae ko divaar karnaa paDtaa hai
ab aa bhi jaao ki ik dusre mein gum ho jaaein
visaal-o-hijr kaa qissa bahut puraanaa huaa