charagh un pe jale the bahut hava ke khilaf
bujhe bujhe hain tabhi aaj bam-o-dar mere

Ahmad Sagheer Siddiqui
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sherशेर
See all 26 →charagh un pe jale the bahut hava ke khilaf
चराग़ उन पे जले थे बहुत हवा के ख़िलाफ़
kuchh der men ye dil kisi ginti men na hoga
कुछ देर में ये दिल किसी गिनती में न होगा
khud apni zaat se ik muqtadi nikalta huun
ख़ुद अपनी ज़ात से इक मुक़तदी निकालता हूँ
zakhm itne hain badan par ki kahin dard nahin
ज़ख़्म इतने हैं बदन पर कि कहीं दर्द नहीं
sunta hai yahan kaun samajhta hai yahan kaun
सुनता है यहाँ कौन समझता है यहाँ कौन
gard ki tarah sar-e-rahguzar baiThe hain
गर्द की तरह सर-ए-राहगुज़र बैठे हैं
Popular Sher & Shayari
52 totalkuchh der men ye dil kisi ginti men na hoga
betab bahut ra.e-shumari ke liye hai
khud apni zaat se ik muqtadi nikalta huun
main apna shauq-e-imamat yunhi nikalta huun
zakhm itne hain badan par ki kahin dard nahin
ham bhi pathrav men patthar ke hue jaate hain
sunta hai yahan kaun samajhta hai yahan kaun
ye shaghl-e-sukhan vaqt-guzari ke liye hai
gard ki tarah sar-e-rahguzar baiThe hain
in dinon aur hi andaz-e-safar hai apna
ye kyaa kam hai amaama baandh kar nikle nahin ham
ab is se bhi sivaa imaan-daari kaun kartaa
kab se main safar mein huun magar ye nahin maalum
aane mein lagaa huun ki main jaane mein lagaa huun
suntaa hai yahaan kaun samajhtaa hai yahaan kaun
ye shaghl-e-sukhan vaqt-guzaari ke liye hai
ye na dekho ki mire zakhm bahut kaari hain
ye bataao ki miraa dushman-e-jaan kaisaa hai
the yahaan saare amal radd-e-amal ke muhtaaj
zindagi bhi hamein darkaar thi marne ke liye
kholin vo dar kisi ne bhi kholaa na ho jise
koi jidhar na jaae udhar jaanaa chaahiye
Ghazalग़ज़ल
aur si dhuup ghaTaa aur si rakkhi hui hai
और सी धूप घटा और सी रक्खी हुई है
aasmaan-zaad zaminon pe kahin naachte hain
आसमाँ-ज़ाद ज़मीनों पे कहीं नाचते हैं
ik jism hain ki sar se judaa hone vaale hain
इक जिस्म हैं कि सर से जुदा होने वाले हैं
ik khvaab hai ye pyaas bhi dariyaa bhi khvaab hai
इक ख़्वाब है ये प्यास भी दरिया भी ख़्वाब है
hain shaakh shaakh pareshaan tamaam ghar mere
हैं शाख़ शाख़ परेशाँ तमाम घर मेरे





