Shayari
kal jo qaatil the vahi aae masihaa ban kar
rahiye in logon se hushyaar chanaa jor garam

Asrar jamayee
Asrar jamayee
kal jo qaatil the vahi aae masihaa ban kar
rahiye in logon se hushyaar chanaa jor garam
apni gharaz ke aage sadaa-e-zamir kyaa
saare takallufaat ko nilaam kijiye
urdu kaa iqbaal bhi dekhaa
aur us ko paamaal bhi dekhaa
leader jo nazar aae to bolo ye adab se
taqrir mein tum garmi-e-whiskey se jilaa do
jantaa kaa khuun bechiye paise kamaaiye
kyon shikva-haae gardish-e-ayyaam kijiye
kuchh der dum hilaaiye aaqaa ke saamne
phailaa ke paanv ghar pe phir aaraam kijiye
zindagi ho miri netaaon ki surat yaa-rab
ho faqat apni gharaz se hi mohabbat yaa-rab
yaaraan-e-ham-mazaaq ki mahfil sajaaiye
jo muttafiq na ho use badnaam kijiye
dal-badal jitne hain kahte hain ye siina taane
ham hain 'ghaalib' ke taraf-daar chanaa jor garam
ye fan pe tabsira to karte nahin zaraa bhi
bas shakhsiyat kaa un ki Dhote phireinge laasha
rahun aazaad na ho qaid-e-maqaami maalik
dil badalnaa ho miraa shaghl-e-davaami maalik