ye gham nahin ki mujh ko jagna paDa hai umr bhar
ye ranj hai ki mere saare khvab koi le gaya
Aziz Tamannai
Aziz Tamannai
Sherशेर
See all 16 →ye gham nahin ki mujh ko jagna paDa hai umr bhar
ये ग़म नहीं कि मुझ को जागना पड़ा है उम्र भर
ek sannaTa tha avaz na thi aur na javab
एक सन्नाटा था आवाज़ न थी और न जवाब
thapkiyan dete rahe ThanDi hava ke jhonke
थपकियाँ देते रहे ठंडी हवा के झोंके
kuchh kaam aa sakin na yahan be-gunahiyan
कुछ काम आ सकीं न यहाँ बे-गुनाहियाँ
baaqi abhi qafas men hai ahl-e-qafas ki yaad
बाक़ी अभी क़फ़स में है अहल-ए-क़फ़स की याद
mil hi ja.egi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar
मिल ही जाएगी कभी मंज़िल-ए-मक़्सूद-ए-सहर
Popular Sher & Shayari
32 totalek sannaTa tha avaz na thi aur na javab
dil men itne the savalat ki ham so na sake
thapkiyan dete rahe ThanDi hava ke jhonke
is qadar jal uThe jazbat ki ham so na sake
kuchh kaam aa sakin na yahan be-gunahiyan
ham par laga hua tha vo ilzam umr-bhar
baaqi abhi qafas men hai ahl-e-qafas ki yaad
bikhre paDe hain baal kahin aur par kahin
mil hi ja.egi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
jis ko chalnaa hai chale rakht-e-safar baandhe hue
ham jahaan-gasht hain uTThe hain kamar baandhe hue
vahin bahaar-ba-kaf qaafile lapak ke chale
jahaan jahaan tire naqsh-e-qadam ubharte rahe
ab kaun si mataa-e-safar dil ke paas hai
ik raushani-e-subh thi vo bhi udaas hai
ye gham nahin ki mujh ko jaagnaa paDaa hai umr bhar
ye ranj hai ki mere saare khvaab koi le gayaa
un ko hai daavaa-e-asihaai
jo nahin jaante shifaa kyaa hai
baaqi abhi qafas mein hai ahl-e-qafas ki yaad
bikhre paDe hain baal kahin aur par kahin
Ghazalग़ज़ल
paate hain kuchh kami si tasvir-e-zindagi mein
पाते हैं कुछ कमी सी तस्वीर-ए-ज़िंदगी में
khalvat hui hai anjuman-aaraa kabhi kabhi
ख़ल्वत हुई है अंजुमन-आरा कभी कभी
karo talaash had-e-aasmaan milne na mile
करो तलाश हद-ए-आसमाँ मिलने न मिले
ab kaun si mataa-e-safar dil ke paas hai
अब कौन सी मता-ए-सफ़र दिल के पास है
uThaa ke mere zehn se shabaab koi le gayaa
उठा के मेरे ज़ेहन से शबाब कोई ले गया
yunhi kaTe na rahguzar-e-mukhtasar kahin
यूँही कटे न रहगुज़र-ए-मुख़्तसर कहीं





