Sher
talkhaba-e-hayat piya hai tamam umar
ab aur kya mila.ega saaqi sharab men

Lais Quraishi
talkhaba-e-hayat piya hai tamam umar
ab aur kya mila.ega saaqi sharab men
miri samajh men na aaya ye karobar-e-hayat
kahan hai nafa kahan hai zarar nahin ma.alum
yahi bahut hai ki zinda hain qaid-e-zist men ham
ye kaisi shaam hai kaisi sahar nahin ma.alum
talkhaaba-e-hayaat piyaa hai tamaam umar
ab aur kyaa milaaegaa saaqi sharaab mein
miri samajh mein na aayaa ye kaarobaar-e-hayaat
kahaan hai nafaa kahaan hai zarar nahin maalum
yahi bahut hai ki zinda hain qaid-e-zist mein ham
ye kaisi shaam hai kaisi sahar nahin maalum
zindagi yuun hai ki maail-ba-fanaa ho jaise
ज़िंदगी यूँ है कि माइल-ब-फ़ना हो जैसे
tum ne bhule se kabhi ye nahin sochaa hogaa
तुम ने भूले से कभी ये नहीं सोचा होगा
nahin ye baat ki parvaaz kaa iraada nahin
नहीं ये बात कि पर्वाज़ का इरादा नहीं
jo ittifaaq se ham saahab-e-faraash hue
जो इत्तिफ़ाक़ से हम साहब-ए-फ़राश हुए
kisi gumaan kisi imkaan kaa rukh nahin karti
किसी गुमाँ किसी इम्काँ का रुख़ नहीं करती
maanaa ki musaafir hain jahaan-e-guzaraan ham
माना कि मुसाफ़िर हैं जहान-ए-गुज़राँ हम