Shayari
shaagird hain ham 'mir' se ustaad ke 'raasikh'
ustaadon kaa ustaad hai ustaad hamaaraa
R
Rasikh AzimabadiRasikh Azimabadi
Rasikh Azimabadi
shaagird hain ham 'mir' se ustaad ke 'raasikh'
ustaadon kaa ustaad hai ustaad hamaaraa
aane mein sadaa der lagaate hi rahe tum
jaate rahe ham jaan se aate hi rahe tum
jab tujhe khud aap se begaanagi ho jaaegi
aashnaa tab tujh se vo der-aashnaa ho jaaegaa
baazaar jahaan mein koi khvaahaan nahin teraa
le jaaein kahaan ab tujhe ai jins-e-vafaa ham