Shayari
shab-e-firaaq kaa chhaayaa huaa hai rob aisaa
bulaa bulaa ke thake ham qazaa nahin aai

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
shab-e-firaaq kaa chhaayaa huaa hai rob aisaa
bulaa bulaa ke thake ham qazaa nahin aai
khudaa ne munh mein zabaan di hai to shukr ye hai ki munh se bolo
ki kuchh dinon mein na munh rahegaa na munh mein chalti zabaan rahegi
ham ro ro ashk bahaate hain vo tufaan baiThe uThaate hain
yuun hans hans kar farmaate hain kyuun mard kaa naam Dubotaa hai
miTTi kaa hi ghar na hogaa barbaad
miTTi tire tan kaa ghar bhi hogaa
anjaam khushi kaa duniyaa mein sach kahte ho gham hotaa hai
saabit hai gul aur shabnam se jo hanstaa hai vo rotaa hai
dil to dil afai-e-gesu vo balaa hai kaafir
is kaa kaaTaa koi afi bhi na paani maange
'shahbaaz' mein aib hi nahin kul
ek aadh koi hunar bhi hogaa