Shayari
zindagi khvaab dekhti hai magar
zindagi zindagi hai khvaab nahin

Shabnam Rumani
Shabnam Rumani
zindagi khvaab dekhti hai magar
zindagi zindagi hai khvaab nahin
apni majburi ko ham divaar-o-dar kahne lage
qaid kaa saamaan kiyaa aur us ko ghar kahne lage
mujhe ye zoam ki main husn kaa musavvir huun
unhein ye naaz ki tasvir to hamaari hai
teri taabish se raushan hain gul bhi aur viraane bhi
kyaa tu bhi is hansti-gaati duniyaa kaa mazdur hai chaand?