Quote
"chaar unsur ke sab tamashe hain vaah ye chaar baagh kis ka hai"

Wazir Ali Saba Lakhnavi
chaar unsur ke sab tamashe hain
चार उंसुर के सब तमाशे हैं
ab to sahab ki hui khatir jam.a
अब तो साहब की हुई ख़ातिर जम्अ'
kudurat nahin apni tab-e-ravan men
कुदूरत नहीं अपनी तब्-ए-रवाँ में
uTha di qaid-e-maz.hab dil se ham ne
उठा दी क़ैद-ए-मज़हब दिल से हम ने
ma.adum hue jaate hain ham fikr ke maare
मादूम हुए जाते हैं हम फ़िक्र के मारे
na paDha yaar ne ahval-e-shikasta mera
न पढ़ा यार ने अहवाल-ए-शिकस्ता मेरा
"chaar unsur ke sab tamashe hain vaah ye chaar baagh kis ka hai"
"ab to sahab ki hui khatir jam.a san chuke hal-e-pareshan mera"
"kudurat nahin apni tab-e-ravan men bahut saaf bahta hai dariya hamara"
"uTha di qaid-e-maz.hab dil se ham ne qafas se ta.ir-e-idrak nikla"
"ma.adum hue jaate hain ham fikr ke maare mazmun kamar-e-yar ka paida nahin hota"
"na paDha yaar ne ahval-e-shikasta mera khat ke purze kiye bazu-e-kabutar toDa"
uThaa di qaid-e-mazhab dil se ham ne
qafas se taair-e-idraak niklaa
mai pi ke iid kijiye guzraa mah-e-siyaam
tasbih rakhiye saaghar-o-minaa uThaaiye
tumhaari zulf na girdaab-e-naaf tak pahunchi
hui na chashma-e-haivaan se faiz-yaab ghaTaa
khud-raftagi hai chashm-e-haqiqat jo vaa hui
darvaaza khul gayaa to main ghar se nikal gayaa
tirchhi nazron se na dekho aashiq-e-dil-gir ko
kaise tir-andaaz ho sidhaa to kar lo tiir ko
aap ko ghair bahut dekhte hain
ek din dekhiye pachhtaaiyegaa