Shayari
ye taraqqi kaa zamaana hai tire aashiq par
ungliyaan uThti thiin ab haath uThaa karte hain

Zareef Jabalpuri
Zareef Jabalpuri
ye taraqqi kaa zamaana hai tire aashiq par
ungliyaan uThti thiin ab haath uThaa karte hain
'zarif' anjaam kyaa hogaa jo meraa dil bhi kho jaae
kahin aisaa na ho, mujh ko bhi filmi ishq ho jaae
bahut tang aa gae jab machchharon ki Dank-maari se
to sab shaaer taDap uTThe nihaayat be-qaraari se
kisi machchhar ne baDh kar hazrat-e-'makhmur' ko kaaTaa
khumaar utraa to chhaayaa aalam-e-hasti mein sannaaTaa