Shayari
ye dar-o-divaar par be-naam se chup-chaap saae
phulon raston aur bachchon ki hifaazat chaahte hain
Z
Zulfeqar Ahmad TabishZulfeqar Ahmad Tabish
ye dar-o-divaar par be-naam se chup-chaap saae
phulon raston aur bachchon ki hifaazat chaahte hain
peDon ki ghani chhaanv aur chait ki hiddat thi
aur aise bhaTakne mein anjaan si lazzat thi
kis kaa chehra DhunDaa dhuup aur chhaanv mein
aur khvaabon mein rang bhare to kis ke liye
ye naqsh-e-khushnumaa dar-asl naqsh-e-aajizi hai
ki asl-e-husn to andesha-e-bahzaad mein hai
vo saaneha huaa thaa ki bas dil dahal gae!
ik shab mein saare shahr ke chehre badal gae
hamaare shahr mein aane ki surat chaahti hain
havaaein baaryaabi ki ijaazat chaahti hain
ham ne saare harf likhe to kis ke liye
हम ने सारे हर्फ़ लिखे तो किस के लिए
nadi kinaare baiThe rahnaa achchhaa hai
नदी किनारे बैठे रहना अच्छा है
ye shor-o-shar to pahle din se aadam-zaad mein hai
ये शोर-ओ-शर तो पहले दिन से आदम-ज़ाद में है
peDon ki ghani chhaanv aur chait ki hiddat thi
पेड़ों की घनी छाँव और चैत की हिद्दत थी
kuchh gunah nahin is mein e'tiraaf hi kar lo
कुछ गुनह नहीं इस में ए'तिराफ़ ही कर लो
vo saaneha huaa thaa ki bas dil dahal gae!
वो सानेहा हुआ था कि बस दिल दहल गए!