"is se phulon vaale bhi aajiz aa gae hain teri khaatir jo guldasta DhunD rahaa hai dil ko dhakke khaate nikaale jaate dekh ke saahil apnaa pakkaa dariyaa DhunD rahaa hai tasma khulaa jaise aazaad talaazma ho vaah ek pahan ke dusraa juutaa DhunD rahaa hai us ke flat se baahar koi duur kaa dost paas ke bus stop kaa rasta DhunD rahaa hai bas kar de ab, kab se matla DhunD rahaa hai kyaa koi tisraa chauthaa misraa DhunD rahaa hai ma kiye bint-e-mochi ko chauthaa saal hai tab se vo job aur karmu rishta DhunD rahaa hai har masnui pankhaa jhuTaa make-up kar ke zaat ki shahr-panaah mein rakhna DhunD rahaa hai lamp jalaate aur bujhaa ke phir se jalaate yaa vo mujhe gum kartaa hai yaa DhunD rahaa hai party Thap mehmaan-e-khususi shaair-e-aazam patli gali mein paan kaa khokhaa DhunD rahaa hai yaaro baiThe nahrein khodo baatein chhoDo main use DhunD luun mujhe jo tanhaa DhunD rahaa hai ik laDki apne liye laDki DhunD rahi hai ik laDkaa apne liye laDkaa DhunD rahaa hai mobile par app lagaao kaam chalaao kaun puraane shahar kaa naqsha DhunD rahaa hai roze rakhvaao khulvaao jannat paao banda to do vaqt kaa khaanaa DhunD rahaa hai meri iklauti T-shirt pe qabza jamaae achchhaa rōmmate apnaa kachchhaa DhunD rahaa hai khil-khilaa ke load-shedding se faiz uThaa ke yusuf-jaani tujhe ye andhaa DhunD rahaa hai gadle paani se dhulte station par kis ko garmaa-garm si chaae kaa piyaala DhunD rahaa hai siine par do qabron kai taaviz bandhe hain bach kar, dhup! mujhe ik saaya DhunD rahaa hai u-e-t mein chhuTTiyaan hone vaali hain dost kaun saa hostel kis kaa kamra DhunD rahaa hai"
aa jaae vo milne to mujhe id-mubaarak — Idris Babar
"aa jaae vo milne to mujhe id-mubaarak mat aae ba-har-haal use id-mubaarak aisaa ho sab insaan hon khush itne ki har roz ik dusre se kahtaa phire id-e-mubaarak haan mujh se jise jis se mujhe jo bhi gila ho aabaad rahe shaad rahe id-e-mubaarak tanhaai si tanhaai ki divaar bhi shashdar ab khul ke kahe yaa na kahe id-e-mubaarak sargoshi ne patthar ko sabaq yaad dilaayaa paani ne likhaa aaine pe id-e-mubaarak tum jo mire sheron ke mukhaatib the na hoge aakhir mein tumhein sirf tumhe id-mubaarak"
آ جائے وہ ملنے تو مجھے عید مبارک مت آئے بہ ہر حال اسے عید مبارک ایسا ہو سب انسان ہوں خوش اتنے کہ ہر روز اک دوسرے سے کہتا پھرے عید مبارک ہاں مجھ سے جسے جس سے مجھے جو بھی گلہ ہو آباد رہے شاد رہے عید مبارک تنہائی سی تنہائی کہ دیوار بھی ششدر اب کھل کے کہے یا نہ کہے عید مبارک سرگوشی نے پتھر کو سبق یاد دلایا پانی نے لکھا آئینے پہ عید مبارک تم جو مرے شعروں کے مخاطب تھے نہ ہو گے آخر میں تمہیں صرف تمہے عید مبارک
आ जाए वो मिलने तो मुझे ईद-मुबारक मत आए ब-हर-हाल उसे ईद-मुबारक ऐसा हो सब इंसान हों ख़ुश इतने कि हर रोज़ इक दूसरे से कहता फिरे ईद-ए-मुबारक हाँ मुझ से जिसे जिस से मुझे जो भी गिला हो आबाद रहे शाद रहे ईद-ए-मुबारक तन्हाई सी तन्हाई कि दीवार भी शश्दर अब खुल के कहे या न कहे ईद-ए-मुबारक सरगोशी ने पत्थर को सबक़ याद दिलाया पानी ने लिखा आईने पे ईद-ए-मुबारक तुम जो मिरे शे'रों के मुख़ातिब थे न होगे आख़िर में तुम्हें सिर्फ़ तुम्हे ईद-मुबारक

More by Idris Babar
View all →"dekh na is tarah guzaar arsa-e-chashm se mujhe fursat-e-did ho na ho mohlat-e-khvaab de mujhe bas-ki guzishtani hai vaqt bas-ki shikastani hai dil khvaab koi dikhaa ki jo yaad na aa sake mujhe khaam hi rakh ke pukhtagi shakl hai ik shikast ki aatish-e-vasl ki jagah khaak-e-firaaq de mujhe haan ai ghubaar-e-aashnaa main bhi thaa ham-safar tiraa pi gaiin manzilein tujhe khaa gae raaste mujhe der se ro nahin sakaa duur huun so nahin sakaa gham jo rulaa sake mujhe sam jo sulaa sake mujhe"
"yahaan se chaaron taraf raaste nikalte hain Thahar Thahar ke ham is khvaab se nikalte hain kisi kisi ko hai tahzib-e-dasht-aaraai kai to khaak uDaate hue nikalte hain yahaan rivaaj hai zinda jalaa diye jaaein vo log jin ke gharon se diye nikalte hain ajiib dasht hai dil bhi jahaan se jaate hue vo khush hain jaise kisi baagh se nikalte hain ye log so rahe honge jabhi to aaj talak zaruf-e-khaak se khvaabon bhare nikalte hain sitaare dekh ke khush huun ki roz meri tarah jo kho gae hain unhein DhunDne nikalte hain"
"ab masaafat mein to aaraam nahin aa saktaa ye sitaara bhi mire kaam nahin aa saktaa ye miri saltanat-e-khvaab hai aabaad raho is ke andar koi bahraam nahin aa saktaa jaane khilte hue phulon ko khabar hai ki nahin baagh mein koi siyah-faam nahin aa saktaa har havaa-khvaah ye kahtaa thaa ki mahfuz huun main bujhne vaalon mein miraa naam nahin aa saktaa main jinhein yaad huun ab tak yahi kahte honge shaahzaada kabhi naakaam nahin aa saktaa Dar hi lagtaa hai ki raste mein na rah jaaun kahin kahlavaa dijiye mein shaam nahin aa saktaa"
"bhaai khudaa ke bande jaanein dil ko jaise raam kiyaa apni badhaai ho duniyaa par chaar chhe din jo kaam kiyaa ek nishaani si saahil par saari kahaani chhoD gai Dubti naav par us aakhiri mauj ne kyaa inaam kiyaa pyaare dushman jivan jogi aakhir tum bhi dekh hi loge khud ko khair se kahte sunoge ham ne mazaaq jo aam kiyaa naam pataa be-shak mat likkho pahunchegaa tum bas khat likkho aur is had tak gumnaami mein paidaa kis ne naam kiyaa khushiyaan gham jab hans ro baiThe aakhir ko sab chup ho baiThe bujhtaa alaav unghte taare ham ne khuub kalaam kiyaa kuchh mauzun naa-mauzun kartaa yaa yuun kartaa to kyon kartaa lekin khaali batri ne bharvaan banduq kaa kaam kiyaa"
"matla ghazal kaa ghair zaruri kyaa kyuun kab kaa hissa hai zindagi chokleT cake hai thoDaa thoDaa sab kaa hissa hai ab jo bar mein tanhaa piitaa huun coffē ke naam pe zahr us ki talkh si shirini mein us ke lab kaa hissa hai lok kahaaniyon mein maa-baad-e-jadid ki pesh-aamad jaise fiction ki re-cell value mein mazhab kaa hissa hai ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iraan sindh hai chiin mein aur pyaaraa punjab arab kaa hissa hai sohni yaa sohne se pahle haq hai ghaDe par paani kaa kab se ghaDi mein jab aur tab se zyaada ab kaa hissa hai maanaa hijr ki raat hai ye par kitni khushi ki baat hai ye gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab kaa hissa hai cab chalaane vaale daaji tab chalaane vaalaa saaji vo jo adab kaa hissa the to ye bhi adab kaa hissa hai tai huaa nazm hi mustaqbil hai paan-sau bil hai bhai pyaaro aankh na maaro ghazal hamaare hasab-nasab kaa hissa hai ik din jab buDhe painter ke paas sharaab ke paise nahin the chhat par ye ghanghor ghaTaa tab se is pub kaa hissa hai sex jo pahle saakhtiyaati roz-o-shab kaa hissa thi ab maabaad-e-saakhtiyaati roz-o-shab kaa hissa hai qaafiya bahr radif vaghaira jaise harif zarif vaghaira in ko ThanDaa soDa pilaao bhaai ye kab kaa qissa hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"