"agar na zohra-jabinon ko be-vafaa kahiye to phir taghaaful-e-paiham pe un ko kyaa kahiye huzur kyuun miri har baat naa-ravaa kahiye buraa huun main to yaqinan mujhe buraa kahiye hasin yuun to zamaane mein kaj-adaa hain sabhi magar savaal ye hai kis ko kaj-adaa kahiye khamoshiyon pe jafaaon kaa jab ye aalam hai to phir hasinon se kis tarah muddaaa kahiye jo luT hi jaanaa ba-har-haal hai maaal-e-safar to kyuun na rahzan-e-manzil ko rahnumaa kahiye yahi vafaa kaa hai dastur bhi taqaazaa bhi ki har jafaa ko sitamgaar ki adaa kahiye buton ko shauq-e-khudaai huaa hai ai 'muslim' janaab aap bhi patthar ko ab khudaa kahiye"
aaj bazm-e-naaz mein vo intishaar-e-naghma hai — Muslim Ansari
"aaj bazm-e-naaz mein vo intishaar-e-naghma hai saaz-e-dil ki har sadaa naa-saazgaar-e-naghma hai mere saaz-e-gham se duniyaa hi nahin hai muztarib vusat-e-kaun-o-makaan bhi sogvaar-e-naghma hai dast-e-rangin mein kisi ke aa gayaa phir saaz-e-dil meraa har taar-e-nafas phir be-qaraar-e-naghma hai us ko aaegi nazar kyaa khaak tasvir-e-alam jis ke dil kaa aaina pur-az ghubaar-e-naghma hai jab se shaamil ho gai hai naghmagi-e-saaz-e-dil meraa naala ghairat-e-kaif-e-bahaar-e-naghma hai kaash hotaa 'muslim'-e-rangin navaa-e-shauq bhi aaj kaa maahaul kitnaa saazgaar-e-naghma hai"
آج بزم ناز میں وہ انتشار نغمہ ہے ساز دل کی ہر صدا ناساز گار نغمہ ہے میرے ساز غم سے دنیا ہی نہیں ہے مضطرب وسعت کون و مکاں بھی سوگوار نغمہ ہے دست رنگیں میں کسی کے آ گیا پھر ساز دل میرا ہر تار نفس پھر بیقرار نغمہ ہے اس کو آئے گی نظر کیا خاک تصویر الم جس کے دل کا آئنہ پر از غبار نغمہ ہے جب سے شامل ہو گئی ہے نغمگیٔ ساز دل میرا نالہ غیرت کیف بہار نغمہ ہے کاش ہوتا مسلمؔ رنگیں نوائے شوق بھی آج کا ماحول کتنا سازگار نغمہ ہے
आज बज़्म-ए-नाज़ में वो इंतिशार-ए-नग़्मा है साज़-ए-दिल की हर सदा ना-साज़गार-ए-नग़्मा है मेरे साज़-ए-ग़म से दुनिया ही नहीं है मुज़्तरिब वुसअत-ए-कौन-ओ-मकाँ भी सोगवार-ए-नग़्मा है दस्त-ए-रंगीं में किसी के आ गया फिर साज़-ए-दिल मेरा हर तार-ए-नफ़स फिर बे-क़रार-ए-नग़्मा है उस को आएगी नज़र क्या ख़ाक तस्वीर-ए-अलम जिस के दिल का आइना पुर-अज़ ग़ुबार-ए-नग़्मा है जब से शामिल हो गई है नग़्मगी-ए-साज़-ए-दिल मेरा नाला ग़ैरत-ए-कैफ़-ए-बहार-ए-नग़्मा है काश होता 'मुस्लिम'-ए-रंगीं नवा-ए-शौक़ भी आज का माहौल कितना साज़गार-ए-नग़्मा है

More by Muslim Ansari
View all →"numud-e-subh ki pahli kiran kuchh aur kahti hai magar taariki-e-khaak-e-vatan kuchh aur kahti hai payaam-e-mausam-e-gul baaghbaan mere sar-aankhon par magar viraani-e-sehn-e-chaman kuchh aur kahti hai vahaan hai naaz ahl-e-jaah ko qaumi taraqqi par yahaan bekaari-e-arbaab-e-fan kuchh aur kahti hai na ho maayus tum haalaat se dair-o-haram vaalo ki ab tanzim-e-shaikh-o-barhaman kuchh aur kahti hai gadaai se kahin milti hai aazaadi zabaanon ko uTho ki ghairat-e-ahl-e-sukhan kuchh aur kahti hai kise ham mo'atabar samjhein kise naa-mo'tabar 'muslim' sahar kuchh aur kahti hai kiran kuchh aur kahti hai"
"gulshan mein phuul khilte hi sad-chaak ho gae rangin haadse the alamnaak ho gae daur-e-subu-o-jaam chalaa mai-kade mein jab ham be-niyaaz-e-gardish-e-aflaak ho gae dekhaa jo meraa haal-e-zabun shaam-e-intizaar apne to apne ghair bhi namnaak ho gae saaqi ye teraa faiz-e-karam hai ki mai-gusaar bebaak the hi aur bhi bebaak ho gae baad-e-sabaa ko zid hai ki kyuun khaak bhi rahe mar kar jo ku-e-yaar mein ham khaak ho gae ye inqilaab-e-vaqt kaa eajaaz dekhiye ahl-e-junun bhi saahab-e-idraak ho gae achchhaa huaa jo 'muslim'-e-divaana chal basaa qisse to daar-o-gir ke ab paak ho gae"
"jafaa-e-charkh ki jaur-e-butaan nahin hotaa vafaa ke naam pe kyaa kyaa yahaan nahin hotaa vo apni khu-e-jafaa to nahin bhulaa baiThe hai baat kyaa jo miraa imtihaan nahin hotaa jo be-niyaaz-e-taqaazaa-e-aastaan kar de vo sajda dosh-e-jabin par garaan nahin hotaa khulus-e-jazba-e-taamir bhi hai shart ai dost ki chaar tinkon kaa naam aashiyaan nahin hotaa nigaah-e-yaar kaa andaaz-e-dilbari tauba main luT gayaa bhi magar bad-gumaan nahin hotaa ye kyaa bahaar hai kaisi ye fasl-e-gul 'muslim' ki jis ko dekh ke dil shaadmaan nahin hotaa"
"kisi ko haasil faraagh-e-hasti koi hai mamnun-e-be-navaai nizaam-e-jamhuriyat yahi hai to mere maalik tiri duhaai chaman mein afsurdagi vahi hai magar fareb-e-nazar to dekho kahin jo do ghunche muskuraae to ham ne samjhaa bahaar aai hazaar badlaa kare zamaana sau inqalaab aaein faaeda kyaa miTi na jab un ki be-niyaazi gai na jab apni jabha-saai khulus-e-dil hai agar salaamat miTegi ik roz ye kashaakash tumhein miraa naghma-e-mohabbat karegaa majbur-e-ham-navaai mujhe mohabbat ne aisi manzil pe aaj pahunchaa diyaa hai 'muslim' ki dhaDkanein dil ki baDh ke khud kar rahi hain ab meri rahnumaai"
"umr paa kar bhi na badli rasm-e-mai-khaana abhi apnon hi apnon mein hai taqsim-e-mai-khaana abhi dekh le duniyaa bhi kyaa hotaa hai anjaam-e-vafaa bazm mein rahne do yunhi khaak-e-parvaana abhi kyaa tamaashaa hai ki ban baiThe hain vo pir-e-mughaan jo nahin hain vaaqif-e-aadaab-e-mai-khaana abhi ek din khul kar rahegaa teri ulfat kaa bharam ghair tak pahunchaa kahaan hai meraa afsaana abhi dair mein rah kar bhi hai 'muslim' vafaadaar-e-haram us ki majburi ko samjhein ahl-e-but-khaana abhi"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"