SHAWORDS

'aalam-e-kharaabi kaa tark-e-mudda’aa huun main — Abaan Asif Kachkar

"'aalam-e-kharaabi kaa tark-e-mudda’aa huun main kis ko hai khabar yaan ki main jo huun to kyaa huun main main nazaara-e-digar soz kaa nazaara huun dil ki laa-'ilaaji ke dard ki davaa huun main main huun halqa-e-aafat jaavedaana-jaan bhi huun kahne aur sunne ko abr huun havaa huun main maajraa-faroshi hai apne yaan bahut dekho aakhiri main kab royaa kab talak hansaa huun main huzn-e-infisaal-e-man se lahu lahu hai tan ik taraf main baiThaa huun ik taraf khaDaa huun main kaar-e-zindagaani mein tu nihaan thaa lekin thaa ab to zindagaani mein naa to tu hai naa huun main kyaa 'abaan' maujuda mo'jize pe mabni ho sab ke sab ye kahte hain main bahut buraa huun main"
Urdu

عالم خرابی کا ترک مدعا ہوں میں کس کو ہے خبر یاں کہ میں جو ہوں تو کیا ہوں میں میں نظارۂ دیگر سوز کا نظارہ ہوں دل کی لا علاجی کے درد کی دوا ہوں میں میں ہوں حلقۂ آفت جاودانہ جاں بھی ہوں کہنے اور سننے کو ابر ہوں ہوا ہوں میں ماجرا فروشی ہے اپنے یاں بہت دیکھو آخری میں کب رویا کب تلک ہنسا ہوں میں حزن انفصال من سے لہو لہو ہے تن اک طرف میں بیٹھا ہوں اک طرف کھڑا ہوں میں کار زندگانی میں تو نہاں تھا لیکن تھا اب تو زندگانی میں نا تو تو ہے نا ہوں میں کیا ابانؔ موجودہ معجزے پہ مبنی ہو سب کے سب یہ کہتے ہیں میں بہت برا ہوں میں

Hindi

'आलम-ए-ख़राबी का तर्क-ए-मुद्द’आ हूँ मैं किस को है ख़बर याँ कि मैं जो हूँ तो क्या हूँ मैं मैं नज़ारा-ए-दीगर सोज़ का नज़ारा हूँ दिल की ला-'इलाजी के दर्द की दवा हूँ मैं मैं हूँ हल्क़ा-ए-आफ़त जावेदाना-जाँ भी हूँ कहने और सुनने को अब्र हूँ हवा हूँ मैं माजरा-फ़रोशी है अपने याँ बहुत देखो आख़िरी मैं कब रोया कब तलक हँसा हूँ मैं हुज़्न-ए-इंफ़िसाल-ए-मन से लहू लहू है तन इक तरफ़ मैं बैठा हूँ इक तरफ़ खड़ा हूँ मैं कार-ए-ज़िंदगानी में तू निहाँ था लेकिन था अब तो ज़िंदगानी में ना तो तू है ना हूँ मैं क्या 'अबान' मौजूदा मो'जिज़े पे मब्नी हो सब के सब ये कहते हैं मैं बहुत बुरा हूँ मैं

'ālam-e-ḳharābī kā tark-e-mudda’ā huuñ maiñ
Abaan Asif Kachkar
Abaan Asif Kachkar
Abaan Asif Kachkar
poet11 quotes

More by Abaan Asif Kachkar

View all →
Quote
"ham jaisi jahaan mein bhi koi baat kahaan hai larzish si hama-vaqt hai udham saa ravaan hai naalaan-e-junun-zaad kisu pas na sunaai ik raunaq-e-aafaaq mein guftaar-e-fughaan hai hai vo ki jahaan khuun mein hai raaz-o-niyaazi vo pir-e-khirad barg-o-gul-e-baagh-e-nihaan hai daa'vaa-e-sukhan der talak hove hamaaraa maqdur hai satvat hai ye jaadu kaa bayaan hai har jaa ke tilismaana 'adu saath kuDhe jaa is roz zubun huun jo mire munh mein zabaan hai aashuftagi-e-soz-e-alam se hi to yaaro dil meraa jalaa kyaa ye ki uf kitnaa dhuaan hai paDh lo jo nazar aave hai baarik-nigaari behad sukhan-aamaada hai saahab ye 'abaan' hai"
Abaan Asif KachkarAbaan Asif Kachkar
Quote
"paa-ba-paa aamad karein sab aabla-paa ham nahin ab ki vo hamraah hogaa jab ki vo hamdam nahin ghaar-e-shab mein ik tamaashaa ik jadal barpaa huaa kam ziyaada thi nazar to thi ziyaada kam nahin sargiraan khaa kar vo meva be-ijaazat khuld se be-zarar iblis hogaa be-zarar aadam nahin sarparasti kaa muhaajir kaaenaat o kul dahr saaraa saaraa din machaayaa par machaa udham nahin sab mulavvis ro rahe ham jaa rahe hain jaan se kuchh tumhaaraa gham to hogaa kuchh hamaaraa gham nahin sun to lo ghazlein 'abaan' ki daur-e-'aalam kam paDho vo sukhan-aazaad har-su jo sukhan-‘aalam nahin"
Abaan Asif KachkarAbaan Asif Kachkar
Quote
"nahin akbar yahaan mujh sher ki khvaahaan bayaani se zi-bas maqdur hai maqdur par maatam zabaani se gah-e-hasti kahin zaahir pataa ham sar se laave hai dhuaan uThtaa hai phir pas az fanaa soz-e-nihaani se tahi dil jaan-e-maa guzri to kyaa ghabraa ke puchho ho abas dil naa-tavaan guzraa saraapaa naa-tavaani se havaa ki shauq-e-mai uD jaave hai khaam-e-khayaali ko ubur-e-abr tulaani ki barse mai-fishaani se unhon ke vaada-e-fardaa ko gar imroz mil jaataa divaanaa mar nahin jaataa jo mil jaataa divaani se khamoshi bhar rahi hai dard apnaa ginte jaate hain davaa bezaar rahti hai khudaayaa sargiraani se munaafiq ab kahaan dushman ki samt-e-rah se jaa laage evaz dushman bane hai yaan munaafiq bad-gumaani se sukhan-var hain bahut achchhe kitaabon se churaave jo 'abaan' ko dekh likhtaa hai tabiat ki ravaani se"
Abaan Asif KachkarAbaan Asif Kachkar
Quote
"phir khayaabaan baad shabnam dekhiye fauran khulaa naasehaa to dosti ki vird par dushman khulaa hashr tak firaun ko miTTi nakaare yaar sun khul gayaa khultaa nahin thaa aakhirash murdan khulaa shefta kaa khand-e-nimaa aastaan-e-ishq par jab khulaae dil ba-dast-e-dil khulaa tan-man khulaa e'timaadon kaa tasavvur jhuTe sheve har jagah Tuk chhupi divaana-vaari Tuk divaana-pan khulaa raftagaan-e-be-kasi uftaad paa mismaar paa misl-e-zindaan aaj phir is ghaar se rahzan khulaa li chilam az khinch kar khadshe se andoh-o-alam munh jalaa patti jali shab-taa-sahar indhan khulaa naala-e-bairun se jaa kar hamaari chhat khuli haif hai rakhshandagi taakhir tak rauzan khulaa khud 'abaan' in se kaho kah do shiaar-e-aam se shukr maano tum zamaane jis pe apnaa fan khulaa"
Abaan Asif KachkarAbaan Asif Kachkar
Quote
"huaa jab TuTnaa abtar navaa be-sud shishe kaa uThaa shahr-e-qazaa mein muddaaa naa-bud shishe kaa ki bas baada-kashi matlab tavaan har jaa hai shishe ki thaa kab marghub thaa idraak yaan mardud shishe kaa nafas marg-e-nafas hotaa hai juun shishe ki khilqat mein asar be-laus hotaa hai jidhar mahdud shishe kaa kisu khaaliq kaa daavaa kar gayaa phir mar gayaa insaan khudaai kar nahin saktaa kabhi namrud shishe kaa ibaarat muntaqil rahti hai phir parvardigaaraan se kahin but hai tu patthar kaa kahin maabud shishe kaa 'abaan' ko tum kaho insaan kaho insaan ko tum shisha kaho maujud insaan to kaho maujud shishe kaa"
Abaan Asif KachkarAbaan Asif Kachkar
Quote
"abhi baaqi sharm thoDi hayaa hai sukhan apnaa ki dekho sab nayaa hai safine duur hain vaqtan-favaqtan ye aadam ruk gayaa yaa chal rahaa hai o paagal siidh mein rasta nahin hai usi kaa dard hai jis ki davaa hai mubaarak chiiz hai insaan hamein bhi kabhi Tuk hans rahaa Tuk ro rahaa hai hamaaraa dil bhi hai andar to jhaanko ye chehra shaam se hi khush baDaa hai balaa kaa zakhm hai kuchh kam tamaashaa suno to sher ik taaza likhaa hai abaan-e-kushta gham achchhi sunaao yahaan main huun qalam hai aur khudaa hai"
Abaan Asif KachkarAbaan Asif Kachkar

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud