SHAWORDS

aankhon mein bas rahaa hai adaa ke baghair bhi — Hasan Naim

HomeHasan NaimGhazal
"aankhon mein bas rahaa hai adaa ke baghair bhi dil us ko sun rahaa hai sadaa ke baghair bhi khilte hain chand phuul bayaabaan mein be-sabab girte hain kuchh darakht havaa ke baghair bhi main huun vo shaah-bakht ki darbaar-e-husn mein chaltaa hai apnaa kaam vafaa ke baghair bhi munsif ko sab khabar hai magar boltaa nahin mujh par huaa jo zulm sazaa ke baghair bhi bandon ne jab se kaam sambhaalaa hai dahr kaa naazil hai roz qahr khudaa ke baghair bhi urdu ghazal ke dam se vo tahzib bach gai miTne kaa jis ke gul thaa fanaa ke baghair bhi"
Urdu

آنکھوں میں بس رہا ہے ادا کے بغیر بھی دل اس کو سن رہا ہے صدا کے بغیر بھی کھلتے ہیں چند پھول بیاباں میں بے سبب گرتے ہیں کچھ درخت ہوا کے بغیر بھی میں ہوں وہ شاہ بخت کہ دربار حسن میں چلتا ہے اپنا کام وفا کے بغیر بھی منصف کو سب خبر ہے مگر بولتا نہیں مجھ پر ہوا جو ظلم سزا کے بغیر بھی بندوں نے جب سے کام سنبھالا ہے دہر کا نازل ہے روز قہر خدا کے بغیر بھی اردو غزل کے دم سے وہ تہذیب بچ گئی مٹنے کا جس کے گل تھا فنا کے بغیر بھی

Hindi

आँखों में बस रहा है अदा के बग़ैर भी दिल उस को सुन रहा है सदा के बग़ैर भी खिलते हैं चंद फूल बयाबाँ में बे-सबब गिरते हैं कुछ दरख़्त हवा के बग़ैर भी मैं हूँ वो शाह-बख़्त कि दरबार-ए-हुस्न में चलता है अपना काम वफ़ा के बग़ैर भी मुंसिफ़ को सब ख़बर है मगर बोलता नहीं मुझ पर हुआ जो ज़ुल्म सज़ा के बग़ैर भी बंदों ने जब से काम सँभाला है दहर का नाज़िल है रोज़ क़हर ख़ुदा के बग़ैर भी उर्दू ग़ज़ल के दम से वो तहज़ीब बच गई मिटने का जिस के गुल था फ़ना के बग़ैर भी

āñkhoñ meñ bas rahā hai adā ke baġhair bhī
Hasan Naim
Hasan Naim
Hasan Naim
poet82 quotes

More by Hasan Naim

View all →
Quote
"khvaab ki raah mein aae na dar-o-baam kabhi is musaafir ne uThaayaa nahin aaraam kabhi rashk-e-mahtaab hai ik daagh-e-tamannaa kab se dil kaa nazzaara karo aa ke sar-e-shaam kabhi shab-ba-khair us ne kahaa thaa ki sitaare larze ham na bhuleinge judaai kaa vo hangaam kabhi sar-kashi apni hui kam na ummidein TuTin mujh se kuchh khush na gayaa mausam-e-aalaam kabhi ham se aavaaron ki sohbat mein hai vo lutf ki bas do ghaDi mil to sahi gardish-e-ayyaam kabhi ai sabaa main bhi thaa aashufta-saron mein yaktaa puchhnaa dilli ki galiyon se miraa naam kabhi nudrat-e-fikr ne gar saath jo chhoDaa to 'naim' apne sar leinge tatabbo kaa na ilzaam kabhi"
Hasan NaimHasan Naim
Quote
"koh ke siine se aab-e-aatashin laataa koi is navaa-e-aagahi ko Duub kar gaataa koi dekhtaa masti kaa sangam lab hai yaa guftaar hai jaam se mere jo apnaa jaam Takraataa koi baadalon ki tarah aayaa barq-aasaa chal diyaa chaand ki maanind shab bhar to Thahar jaataa koi husn kaa dil se taalluq daaimi hai garm hai varna kis kaa kis se hai rishta koi naataa koi maangne ko maang lein ashaar-e-gham se dilkashi mil nahin saktaa hai un ko fikr saa daataa koi naazish-e-fardaa miraa husn-e-taghazzul hai 'hasan' ranj hotaa aaj gar kuchh qadr farmaataa koi"
Hasan NaimHasan Naim
Quote
"vo kaj-nigaah na vo kaj-shiaar hai tanhaa bas ik payambar-e-jannat-nisaar hai tanhaa na bulbulon ki azaan hai na titliyon kaa tavaaf abhi chaman mein gul-e-nau-bahaar hai tanhaa uThaae minnat-e-sarsar ki naaz-e-baad-e-nasim har ek haal mein sahraa shikaar hai tanhaa falak nujum se raushan zamin charaaghon se hujum-e-nur mein ik shaam-e-taar hai tanhaa jami hai bazm-e-masarrat ghazaal-chashmon se jise mili hai nazar ashk-baar hai tanhaa hamin ne khema-e-hijraan mein kaaT diin raatein hamin ko fikr thi behad ki yaar hai tanhaa chahal-pahal hai bahut yuun to mai-kade mein 'naim' miyaan-e-jaam-o-subu baada-khvaar hai tanhaa"
Hasan NaimHasan Naim

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari