Quote
"mumkin hai phir talaafi-e-maafaat ho na ho aa jaa ki is ke baa'd koi baat ho na ho shaayad ki ziist saans bhi lene na de hamein shaayad ki is ke baa'd mulaaqaat ho na ho ab tak to aansuon ki jhaDi hai lagi hui phir kaun jaantaa hai ki barsaat ho na ho ik apne jiite ji ho charaaghaan kaa ehtimaam marne ke baa'd phir koi baaraat ho na ho do chaar jaam pi lo azizo ki kyaa khabar saaqi ki ham pe chashm-e-inaayaat ho na ho ye bekasi ki raat ghanimat hai 'faiz' ji phir se ye bekasi ki kabhi raat ho na ho"
