"kyaa haal hai hamaaraa kyaa haadisa huaa hai paDh lijiye hamaare chehre pe sab likhaa hai tum aazmaa ke dekho dhoka tumhein huaa hai vo main nahin huun yaaro vo meraa aaina hai main narm narm lahja vo pattharon kaa tevar kis mein hai zor kitnaa ye aaj dekhnaa hai hai zo'm kis mein kitnaa hai sabr kis mein kitnaa haathon mein us ke khanjar lab pe mire du'aa hai shaayad hai ye bhi koi saazish nai-naveli mayyat pe meri aa kar qaatil bhi ro rahaa hai pahle ye uljhanon ki divaar to giraa lo phir us ke baa'd 'saifi' aage ki sochnaa hai"
aap ziddi ham haTile ho gae — Aslam Saifi
"aap ziddi ham haTile ho gae ek hi ghar mein qabile ho gae dushmani pe jab nikhaar aayaa kiyaa dosti ke band Dhile ho gae ungliyon mein kyon jalan hone lagi phuul bhi shaayad nukile ho gae raat aankhon se bahut baarish hui had hui takiye bhi giile ho gae kaun saa jaadu havaaon ne kiyaa jitne phal the sab rasile ho gae mausam-e-gul kaa hai ye adnaa kamaal laDkiyon ke haath piile ho gae mai-kade se kyaa ta'alluq aap kaa aap kyon 'saifi' nashile ho gae"
آپ ضدی ہم ہٹیلے ہو گئے ایک ہی گھر میں قبیلے ہو گئے دشمنی پہ جب نکھار آیا کیا دوستی کے بند ڈھیلے ہو گئے انگلیوں میں کیوں جلن ہونے لگی پھول بھی شاید نکیلے ہو گئے رات آنکھوں سے بہت بارش ہوئی حد ہوئی تکیے بھی گیلے ہو گئے کون سا جادو ہواؤں نے کیا جتنے پھل تھے سب رسیلے ہو گئے موسم گل کا ہے یہ ادنیٰ کمال لڑکیوں کے ہاتھ پیلے ہو گئے مے کدے سے کیا تعلق آپ کا آپ کیوں سیفیؔ نشیلے ہو گئے
आप ज़िद्दी हम हटीले हो गए एक ही घर में क़बीले हो गए दुश्मनी पे जब निखार आया किया दोस्ती के बंद ढीले हो गए उँगलियों में क्यों जलन होने लगी फूल भी शायद नुकीले हो गए रात आँखों से बहुत बारिश हुई हद हुई तकिए भी गीले हो गए कौन सा जादू हवाओं ने किया जितने फल थे सब रसीले हो गए मौसम-ए-गुल का है ये अदना कमाल लड़कियों के हाथ पीले हो गए मय-कदे से क्या त'अल्लुक़ आप का आप क्यों 'सैफ़ी' नशीले हो गए

More by Aslam Saifi
View all →"mahrum zindagi hai savaali kabhi kabhi jaise kisi faqir ki thaali kabhi kabhi aksar tasavvuraat mein uDtaa rahaa huun main kaam aa gai ye khaam-khayaali kabhi kabhi ijaad-e-nau to vaqt kaa zauq-e-jamil hai baasi kaDhi bhi us ne ubaali kabhi kabhi nafrat ki aag phail rahi hai idhar udhar hoti hai mere ghar mein divaali kabhi kabhi ye zindagi ki qabr bahut tang hai magar jiine ki raah aur nikaali kabhi kabhi jaise sharif log bhi circus ke ho gae maahaul ne lagaai hai taali kabhi kabhi 'saifi' nae mizaaj kaa ye shahr to nahin jiddat yahaan bhi aai niraali kabhi kabhi"
"kis qadar ziddi hain zid pe aD gae aap to pichhe hamaare paD gae dostaana guftugu aur dil mein kuchh mere chehre ko vo shaayad paDh gae sochnaa hogaa hamein 'aalam-panaah lashkari aapas mein kaise laD gae ye to honaa thaa huaa afsos kyaa zard patte the havaa se jhaD gae vo miri Thokar ke patthar the kabhi taaj mein jo aap ke hain jaD gae ro'b thaa jin kaa thaa jin kaa dabdaba vo manon miTTi ke niche gaD gae mujrimon ko to rihaai mil gai aur ham suuli pe 'saifi' chaDh gae"
"kali kali ke labon par ye naam kis kaa hai tire chaman mein ai maali qiyaam kis kaa hai kahin pe dil hain bichhaae gae kahin palkein ye kaun aayaa hai ye ehtimaam kis kaa hai use raqib na samjhein to aur kyaa samjhein hamaare naam ke pichhe ye naam kis kaa hai tamaam shahr samajhtaa hai paarsaa mujh ko main muqtadi huun magar tu imaam kis kaa hai sivaa tumhaare koi qatl kar nahin saktaa vo tum nahin to bataao ye kaam kis kaa hai bahaana-baazi kiyaa kar na ai mire saaqi suraahi kis ke liye hai ye jaam kis kaa hai tumhin pe naaz hai naazaan na ho bhalaa kaise hai 'saifi' jis kaa takhallus ghulaam kis kaa hai"
"phir sar-phiri havaaon ki saazish bahut hui sukhe the khet shahr mein baarish bahut hui ham to du'aa ke phuul luTaate rahe sadaa lekin zaraa si baat pe ranjish bahut hui saavan ki buund buund kaa aisaa huaa asar us bevafaa se milne ki khvaahish bahut hui saabit kisi tarah na miraa jurm ho sakaa haalaanki khair-khvaahon ki saazish bahut hui dil TuTne se pahle ye sochaa nahin gayaa dil joDne ki baa'd mein koshish bahut hui laayaa thaa is pe phuul chaDhaane ke vaaste kyaa jaane kyon mazaar mein jumbish bahut hui 'saifi' mujhe thi aas ki hogaa na kuchh alag lekin mere gunaah ki pursish bahut hui"
"khud haal aa ke dekh lo khaana-kharaab kaa ab tak ye muntazir hai tumhaare javaab kaa taa'rif kyaa karun abhi tanqid kyaa karun kuchh baab hi paDhaa hai tumhaari kitaab kaa ai sard-qaum tujh mein haraarat ki thi kami ehsaan hai ye tujh pe mire inqalaab kaa yaadon ki titliyon ko ta'ajjub huaa bahut qissa sunaa gayaa vo adhure gulaab kaa tum kyaa gae ki duniyaa hi meri ujaD gai puchho na mujh se haal mire iztiraab kaa suraj se aaj phir hui shaayad kahaa-suni utraa huaa saa munh hai mire maahtaab kaa sharmindagi to hogi ai 'saifi' bahut mujhe aa jaaegaa jo vaqt hisaab-o-kitaab kaa"
More on Dosti
View all →"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"dushmani chalti rahi yaaron ke biich phuul bhi khilte rahe khaaron ke biich ho agar imaan-e-kaamil aaj bhi raqs ho saktaa hai angaaron ke biich dosti ki chhat banaanaa chaahiye ham ko bhi rahnaa hai divaaron ke biich aap ko to chaand kahte the sabhi aap kyon dhundlaa gae taaron ke biich khud-farebi ne sahaaraa de diyaa mil gayaa iqraar inkaaron ke biich khuub hai 'muztar' kaa rang-e-shaairi khuun ki surkhi hai ghazal-paaron ke biich"
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"