Quote
"tu mujhe bhuul na paaegaa bahut roegaa yaad chehra miraa aaegaa bahut roegaa shab-e-furqat mein barasti hui aankhon mein kabhi jab koi khvaab sajaaegaa bahut roegaa khauf rusvaai ujaale mein sataaegi use tu charaaghon ko bujhaaegaa bahut roegaa pahli baarish se uThegi jo mahak miTTi ki us ko saanson mein basaaegaa bahut roegaa jab mire pyaar ke mahke hue phulon ko kabhi zinat-e-zulf banaaegaa bahut roegaa mujh ko maalum hai tanhaai mein aadat us ki naam likh likh ke miTaaegaa bahut roegaa us ki aankhon mein hai tasvir mire maazi ki aankh darpan se milaaegaa bahut roegaa us ki khaamoshi ki zanjir agar TuTegi qissa-e-hijr sunaaegaa bahut roegaa tujh ko jaanaa hai agar jaa mire hamraahi magar 'saad' bin ji nahin paaegaa bahut roegaa"
