SHAWORDS

aasmaan TuuT paDaa hai chhat par — Mohammad Shahid Firoz

"aasmaan TuuT paDaa hai chhat par mutmain huun ki khudaa hai chhat par ye Tapakne ki nahin hai pyaare kasrat-e-zar ki duaa hai chhat par mujh mein ab tak hai yahi khauf basaa chikh mein Duubi sadaa hai chhat par ek muflis ne kahaa baarish se dekh meraa bhi khudaa hai chhat par vaqt niche bhi utaaregaa use umr bhar kaun rahegaa chhat par mahv-e-hairat hai har ik binaai koi to khel bapaa hai chhat par raah mein aae to lagtaa hai bhalaa dekhne mein jo buraa hai chhat par chaand utraa hai mire pahlu mein nuur mein Duubi fazaa hai chhat par jab se raste pe lagi hain nazrein raasta bantaa gayaa hai chhat par habs kamre kaa bataane aayaa mohtaram aaj huaa hai chhat par shauq se dekh rahi hai duniyaa husn-e-tasvir banaa hai chhat kar ye bhi rukhsat kaa ajab lamha hai shahr kaa shahr khaDaa hai chhat par vaqt raste se uThaa laayaa hai dekh 'shaahid' bhi gayaa hai chhat par"
Urdu

آسماں ٹوٹ پڑا ہے چھت پر مطمئن ہوں کہ خدا ہے چھت پر یہ ٹپکنے کی نہیں ہے پیارے کثرت زر کی دعا ہے چھت پر مجھ میں اب تک ہے یہی خوف بسا چیخ میں ڈوبی صدا ہے چھت پر ایک مفلس نے کہا بارش سے دیکھ میرا بھی خدا ہے چھت پر وقت نیچے بھی اتارے گا اسے عمر بھر کون رہے گا چھت پر محو حیرت ہے ہر اک بینائی کوئی تو کھیل بپا ہے چھت پر راہ میں آئے تو لگتا ہے بھلا دیکھنے میں جو برا ہے چھت پر چاند اترا ہے مرے پہلو میں نور میں ڈوبی فضا ہے چھت پر جب سے رستے پہ لگی ہیں نظریں راستہ بنتا گیا ہے چھت پر حبس کمرے کا بتانے آیا محترم آج ہوا ہے چھت پر شوق سے دیکھ رہی ہے دنیا حسن تصویر بنا ہے چھت کر یہ بھی رخصت کا عجب لمحہ ہے شہر کا شہر کھڑا ہے چھت پر وقت رستے سے اٹھا لایا ہے دیکھ شاہدؔ بھی گیا ہے چھت پر

Hindi

आसमाँ टूट पड़ा है छत पर मुतमइन हूँ कि ख़ुदा है छत पर ये टपकने की नहीं है प्यारे कसरत-ए-ज़र की दुआ है छत पर मुझ में अब तक है यही ख़ौफ़ बसा चीख़ में डूबी सदा है छत पर एक मुफ़्लिस ने कहा बारिश से देख मेरा भी ख़ुदा है छत पर वक़्त नीचे भी उतारेगा उसे उम्र भर कौन रहेगा छत पर महव-ए-हैरत है हर इक बीनाई कोई तो खेल बपा है छत पर राह में आए तो लगता है भला देखने में जो बुरा है छत पर चाँद उतरा है मिरे पहलू में नूर में डूबी फ़ज़ा है छत पर जब से रस्ते पे लगी हैं नज़रें रास्ता बनता गया है छत पर हब्स कमरे का बताने आया मोहतरम आज हुआ है छत पर शौक़ से देख रही है दुनिया हुस्न-ए-तसवीर बना है छत कर ये भी रुख़्सत का अजब लम्हा है शहर का शहर खड़ा है छत पर वक़्त रस्ते से उठा लाया है देख 'शाहिद' भी गया है छत पर

āsmāñ TuuT paḌā hai chhat par
Mohammad Shahid Firoz
Mohammad Shahid Firoz
Mohammad Shahid Firoz
poet11 quotes

More by Mohammad Shahid Firoz

View all →
Quote
"jab diyaa khaamosh thaa aur raushni hoti na thi raat kyaa aati thi goyaa zindagi hoti na thi jin dinon logon ki aankhein khvaahishon se duur thiin un dinon is shahr ki ye dilkashi hoti na thi apni apni raghbaton par jab talak thaa ikhtiyaar tere mere darmiyaan ye bebasi hoti na thi un dinon ki baat hai jab ham the miTTi se juDe be-kali maadum thi aur be-dili hoti na thi dekhte hi dekhte manzar badal kar rah gayaa ye gali suuni thi jab tak aap ki hoti na thi apne apne din the sab ke apni apni raat thi koi bhi shai jab nazar mein markazi hoti na thi jab dar-o-divaar aae to uThi divaar bhi ghar nahin thaa to hamaari be-ghari hoti na thi ishq ne jab tak junun kaa raasta dekhaa na thaa zindagi be-kaif thi tisha-gari hoti na thi is zamin kaa khaali-pan thaa aur havaa kaa shor thaa un dinon ki baat hai jab shaairi hoti na thi jis ki shaadaabi hamein le aai hai 'shaahid' yahaan us jazire par kabhi kyaa zindagi hoti na thi"
Mohammad Shahid FirozMohammad Shahid Firoz
Quote
"isi mein zaat kaa idraak irtiqaa kaa shuur miri nazar mein mohabbat hai intihaa kaa shuur mire vajud se pahle kahaan thaa zikr-e-jamaal kahaan thi ishq si lazzat kahaan vafaa kaa shuur jhuki jabin to aqidat se aashnaai hui uThaae haath to in mein paDaa duaa kaa shuur vo sar dikhaae mujhe jis mein khud-sari hai abhi vo haath unchaa kare jis ko hai anaa kaa shuur main shor-o-shar se zaraa faasla baDhaaungaa samaaaton mein utar aaegaa sadaa kaa shuur hamaaraa aaine par inhisaar baDhne lagaa badan mein jab se khulaa jism-e-maavaraa kaa shuur ye baat jaannaa laazim hai har kisi ke liye nizaam-e-adl se marbut hai khudaa kaa shuur kahaan se zehn mein aayaa khayaal-e-hirs-o-havas kahaan se jism ne paayaa hai aashnaa kaa shuur ye saans chalni thi jalte charaagh bujhne the hamein nahin bhi agar hotaa is havaa kaa shuur ye harf-o-lafz se nisbat ye zauq-e-sher-o-sukhan ye ghaur-o-fikr hai 'shaahid' mein ibtidaa kaa shuur"
Mohammad Shahid FirozMohammad Shahid Firoz
Quote
"main apne naqsh banaa luun to phir nikalte hain zaraa vajud mein aa luun to phir nikalte hain bahut uDaae hai ye khaak chaar su meri gumaan ki khaak uDaa luun to phir nikalte hain main apne karb kaa elaan karne vaalaa huun main khul ke shor machaa luun to phir nikalte hain mujhe tamaam ghamon se bichhaD ke jaanaa hai unhein gale se lagaa luun to phir nikalte hain is ek rog ne chhinaa hai zindagi kaa sukun zaraa ye bhuuk churaa luun to phir nikalte hain mein tark-e-khvaahish-e-duniyaa uThaae phirtaa huun zaraa ye laash dabaa luun to phir nikalte hain junun ki raah pe ab ishq chal paDaa 'shaahid' junun ke hosh uDaa luun to phir nikalte hain"
Mohammad Shahid FirozMohammad Shahid Firoz
Quote
"jab khanDar haveli ke kaan mein sadaa Daali us ne to sadaaon ki gard mujh pe laa Daali qaafile se kyaa bichhDe dekh raaigaani ab manzilon pe jaane ki soch bhi ganvaa Daali khauf kaa jo dariyaa thaa paar kar nahin paae khvaahishon ki shahzaadi bas vahin bahaa Daali tirgi ke gaalon par pyaar se diyaa bosa raushni ki khvaahish thi raushni banaa Daali dil ke is ilaaqe mein gulsitaan ki haajat hai phuul main banaataa huun tu banaa ke laa Daali bad-gumaan logon ko bolne pe uksaayaa habs ke samundar mein yaani kuchh havaa Daali muntazir rahe 'shaahid' kuchh bhi ho nahin paayaa raat din ke phere mein zindagi miTaa Daali"
Mohammad Shahid FirozMohammad Shahid Firoz

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari