SHAWORDS

aayaa aayaa vo dilrubaa aayaa — Musavvir Karanjavi

"aayaa aayaa vo dilrubaa aayaa dard-e-dil le ke muddaaa aayaa husn meraa khudaa nahin lekin bandagi mein baDaa mazaa aayaa aane do josh mein talaatum ko apni kashti mein ab khudaa aayaa kyaa lagaai hai aag duniyaa ko kis qadar daur sar-phiraa aayaa husn-e-kaamil tiri huzuri mein jo bhi aayaa vo paarsaa aayaa tum bhi khush ho miri tabaahi se ye bataao ki haath kyaa aayaa jis 'musavvir' ki aarzu thi tujhe vo tire shahr mein chalaa aayaa"
Urdu

آیا آیا وہ دل ربا آیا درد دل لے کے مدعا آیا حسن میرا خدا نہیں لیکن بندگی میں بڑا مزا آیا آنے دو جوش میں تلاطم کو اپنی کشتی میں اب خدا آیا کیا لگائی ہے آگ دنیا کو کس قدر دور سر پھرا آیا حسن کامل تری حضوری میں جو بھی آیا وہ پارسا آیا تم بھی خوش ہو مری تباہی سے یہ بتاؤ کہ ہاتھ کیا آیا جس مصورؔ کی آرزو تھی تجھے وہ ترے شہر میں چلا آیا

Hindi

आया आया वो दिलरुबा आया दर्द-ए-दिल ले के मुद्दआ आया हुस्न मेरा ख़ुदा नहीं लेकिन बंदगी में बड़ा मज़ा आया आने दो जोश में तलातुम को अपनी कश्ती में अब ख़ुदा आया क्या लगाई है आग दुनिया को किस क़दर दौर सर-फिरा आया हुस्न-ए-कामिल तिरी हुज़ूरी में जो भी आया वो पारसा आया तुम भी ख़ुश हो मिरी तबाही से ये बताओ कि हाथ क्या आया जिस 'मुसव्विर' की आरज़ू थी तुझे वो तिरे शहर में चला आया

aayā aayā vo dilrubā aayā
Musavvir Karanjavi
Musavvir Karanjavi
Musavvir Karanjavi
poet18 quotes

More by Musavvir Karanjavi

View all →
Quote
"kyaa kare hal uqda-e-zaat-o-sifaat hai kahaan utnaa dimaagh-e-kaaenaat zarra zarra kar rahaa hai teri baat ai saraapaa hasti-e-rangin-sifaat pi bhi le duniyaa agar aab-e-hayaat be-sabaati ko kahaan haasil sabaat khizr mil jaaein to puchhun khvaahishaat chaahiye zahraab yaa aab-e-hayaat barq taDpi abr bhi rone lagaa kyaa havaa kah guzri mere vaaqiaat nafs ke pyaale ko saiqal kar ke pi zahr-aaluda na ho aab-e-hayaat khaar kyaa karte sar-e-taslim kham phuul kyaa kahte chaman ki vaardaat"
Musavvir KaranjaviMusavvir Karanjavi
Quote
"agar arz-e-tamannaa ko faqat lutf-e-zabaan samjhaa to phir ai sunne vaale khaak meri daastaan samjhaa na phulon ki hansi dekhi na bulbul ki fughaan samjhaa chaman kaa raaz phir kis munh se kahtaa hai ki haan samjhaa ye meri khud-farebi hai ki majburi khudaa jaane main sahraa ko chaman samjhaa qafas ko aashiyaan samjhaa samaae husn-e-gul kyaa us nigaah-e-shoala-parvar mein ki jis ne barq-e-taabaan ko charaagh-e-aashiyaan samjhaa banaa dein phuul kaanTon ko gulon mein bijliyaan bhar dein chaman mein dil-jale aise bhi hain ai baaghbaan samjhaa yahaan kaa zarra zarra aasmaan ki chaal chaltaa hai zamin-e-ku-e-jaanaan ko dil-e-vahshi kahaan samjhaa kiyaa ifshaa-e-raaz-e-husn har tasvir kahti hai ghalat samjhaa 'musavvir' ko jo tum ne raaz-daan samjhaa"
Musavvir KaranjaviMusavvir Karanjavi
Quote
"muqaddar mein junun-e-fitna-saamaan le ke aayaa huun hayaat-e-gham ke zarron mein bayaabaan le ke aayaa huun nazar hasrat-badaamaan dil pareshaan le ke aayaa huun pa-e-nazr-e-junun ye saaz-o-saamaan le ke aayaa huun miri aankhon ki dur-afshaaniyaan mashhur-e-'aalam hain azal hi se main khu-e-abr-e-naisaan le ke aayaa huun udhar vo ek husn-e-jalva-saamaan le ke aae hain idhar main ek zauq-e-husn-o-irfaan le ke aayaa huun hadis-e-ishq-o-sharh-e-husn ke jauhar luTaataa huun main shaa'ir huun shuur-e-husn-o-irfaan le ke aayaa huun idhar maujon ne sar piiTaa udhar girdaab chakraae main qatra huun magar dariyaa mein tufaan le ke aayaa huun nazar aaegi phir vo 'ishrat-e-rafta qafas vaalo 'musavvir' huun main tasvir-e-gulistaan le ke aayaa huun"
Musavvir KaranjaviMusavvir Karanjavi
Quote
"sab uTh jaaeinge parde darmiyaan se ishaara to karein vo laa-makaan se chune taa-umr kaanTe gulsitaan se kabhi ujrat na maangi baaghbaan se bahut unchaa sahi vo arsh lekin bahut nichaa hai tere aastaan se mire husn-e-takhyyul ke karishme tire jalve nikalte hain yahaan se uDaa do gard maikhaane ki rindo laDaa do aasmaan ko aasmaan se saraapaa gosh-bar-aavaaz huun main na jaane di sadaa us ne kahaan se kabhi to jhaank maikhaane mein zaahid nazar aa jaaegi jannat yahaan se 'musavvir' aap hai tasvir apni sunaa tasvir-e-goyaa ki zabaan se"
Musavvir KaranjaviMusavvir Karanjavi
Quote
"kaanTon ne thaam thaam ke daamaan kabhi kabhi puchhi hai vajh-e-haal-e-pareshaan kabhi kabhi mushkil hui hai ziist mein aasaan kabhi kabhi saahil kaa lutf de gayaa tufaan kabhi kabhi kitni latif-o-shabnami hoti hai zindagi ro kar to dekh ai gul-e-khandaan kabhi kabhi maahaul ai asir-e-qafas khu badal na de phirtaa rahe nazar mein gulistaan kabhi kabhi mere mazaaq-e-ishq pe uThti hain ungliyaan kaafir kabhi kabhi huun musalmaan kabhi kabhi dil mein samaa rahi hain do-aalam ki vusatein kartaa huun uzr-e-tangi-e-daamaan kabhi kabhi tasvir ki zabaan se 'musavvir' ki daastaan sunti hai tham ke gardish-e-dauraan kabhi kabhi"
Musavvir KaranjaviMusavvir Karanjavi
Quote
"tiri tarz-e-sitam ko ham ne ishrat-aafrin paayaa jahannam-zaar ko bhi ghairat-e-khuld-e-barin paayaa zahe qismat jagah paai jo main ne teri mahfil mein Thikaana khaak ne go ki sar-e-arsh-e-barin paayaa tire jalvon ne bakhshi meri nazron ko vo rangini riyaaz-e-dahr ki har chiiz ko main ne hasin paayaa niyaaz-e-sajda-e-ulfat ki qaail kyon na ho duniyaa tire har naqsh-e-paa-e-naaz par naqsh-e-jabin paayaa sanam-khaanon ki tasviron mein duniyaa ne bahut DhunDaa shabih-e-naaz ko ham ne 'musavvir' dil-nashin paayaa"
Musavvir KaranjaviMusavvir Karanjavi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil