SHAWORDS

abhi hai un ki jafaaon ki ik chubhan baaqi — Mohammad Daood Mohsin

"abhi hai un ki jafaaon ki ik chubhan baaqi fughaan-o-nauhagari ki hai kuchh agan baaqi 'ibaadaton mein taqaddus kaa ab chalan hai kahaan jabin-e-zuhd mein sajdon ki hai chubhan baaqi hai paas-e-hukm-e-khudaa na khayaal mahshar kaa faqat hai andhe 'aqaaed kaa ab chalan baaqi har ek gaam bichhi hai bisaat-e-rusvaai na sabza-zaar hain ab aur na vo chaman baaqi fasurdagi ke andheron mein khoe rahte hain na vo khushi hai mayassar na vo lagan baaqi labon pe raqs-e-tabassum thaa aaj tak mere hai paas kuchh to mahaz ranj aur mehan baaqi payambari kaa nahin shauq mujh ko ai 'mohsin' hai dil mein mere faqat aaj fikr-e-fan baaqi"
Urdu

ابھی ہے ان کی جفاؤں کی اک چبھن باقی فغاں و نوحہ گری کی ہے کچھ اگن باقی عبادتوں میں تقدس کا اب چلن ہے کہاں جبین زہد میں سجدوں کی ہے چبھن باقی ہے پاس حکم خدا نہ خیال محشر کا فقط ہے اندھے عقائد کا اب چلن باقی ہر ایک گام بچھی ہے بساط رسوائی نہ سبزہ زار ہیں اب اور نہ وہ چمن باقی فسردگی کے اندھیروں میں کھوئے رہتے ہیں نہ وہ خوشی ہے میسر نہ وہ لگن باقی لبوں پہ رقص تبسم تھا آج تک میرے ہے پاس کچھ تو محض رنج اور محن باقی پیمبری کا نہیں شوق مجھ کو اے محسنؔ ہے دل میں میرے فقط آج فکر فن باقی

Hindi

अभी है उन की जफ़ाओं की इक चुभन बाक़ी फ़ुग़ाँ-ओ-नौहागरी की है कुछ अगन बाक़ी 'इबादतों में तक़द्दुस का अब चलन है कहाँ जबीन-ए-ज़ुहद में सज्दों की है चुभन बाक़ी है पास-ए-हुक्म-ए-ख़ुदा न ख़याल महशर का फ़क़त है अंधे 'अक़ाएद का अब चलन बाक़ी हर एक गाम बिछी है बिसात-ए-रुस्वाई न सब्ज़ा-ज़ार हैं अब और न वो चमन बाक़ी फ़सुर्दगी के अँधेरों में खोए रहते हैं न वो ख़ुशी है मयस्सर न वो लगन बाक़ी लबों पे रक़्स-ए-तबस्सुम था आज तक मेरे है पास कुछ तो महज़ रंज और मेहन बाक़ी पयंबरी का नहीं शौक़ मुझ को ऐ 'मोहसिन' है दिल में मेरे फ़क़त आज फ़िक्र-ए-फ़न बाक़ी

abhī hai un kī jafāoñ kī ik chubhan baaqī
Mohammad Daood Mohsin
Mohammad Daood Mohsin
Mohammad Daood Mohsin
poet36 quotes

More by Mohammad Daood Mohsin

View all →
Quote
"ham se lamhaat khushi ke bhi sanbhaale na gae dard par dard uThe aur vo Taale na gae maut se kam hain kahaan talkh ye mere din raat gham-e-furqat ke vo riste hue chhaale na gae khud ko mansub kiyaa naam tumhaare ham ne naz' ke vaqt bhi tum dil se nikaale na gae ghota-zan hote rahe bahr-e-tafakkur mein magar ham se asraar ke moti bhi khangaale na gae un ki yaadon ke thapeDon se nahin ham ko najaat ashk ke sail kabhi ham se sanbhaale na gae dard-o-gham ranj-o-alam karb-o-khalish ai 'mohsin' barq ki tarh gire aur ye Taale na gae"
Mohammad Daood MohsinMohammad Daood Mohsin
Quote
"khush-kalaami kaa miri anjaam ab bhi yaad hai mere ehsaanon kaa har in'aam ab bhi yaad hai raahat-e-dil raahat-e-jaan paikar-e-gulnaar thaa yaad hai vo shokhi-e-gulfaam ab bhi yaad hai bevafaai kar ke bhi vo ho gae hain naamvar be-sabab ham ho gae badnaam ab bhi yaad hai dil ke kuche mein dabe paanv chali aati hai yaad nim-vaa aankhon kaa vo paighaam ab bhi yaad hai muflis-o-naadaar faaqa-kash the ham paivand-kaar aur kitne the hamaare naam ab bhi yaad hai ik zaraa si baat par 'mohsin' vo us kaa ruThnaa kitni afsurda thi ik ik shaam ab bhi yaad hai"
Mohammad Daood MohsinMohammad Daood Mohsin
Quote
"chaandi ki naav sone ki patvaar dekh kar khud ko Dubone aa gae manjhdaar dekh kar bas ik nigaah-e-naaz 'ajab kaam kar gai jiitaa huun un ki aankhon mein iqraar dekh kar ashkon mein Dhal ke bah gayaa kaajal shab-e-firaaq vo yuun machal gayaa mire ash'aar dekh kar jis ki muravvaton kaa bharosa nahin koi biktaa hai kaun aisaa kharidaar dekh kar qaaem hai is tarah miraa 'azm-e-safar abhi chaltaa rahaa huun vaqt ki raftaar dekh kar ai paikar-e-tilism tiri sehr-kaariyaan Dartaa huun tere husn kaa shahkaar dekh kar maaraa huaa hai aaj bhi 'mohsin' khulus kaa dil haartaa hai vo nigah-e-yaar dekh kar"
Mohammad Daood MohsinMohammad Daood Mohsin

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil