"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
aisaa bhi ik shafiq mire doston mein hai — Akhtar Asif
"aisaa bhi ik shafiq mire doston mein hai jis ke karam kaa 'aks mire aansuon mein hai patthar hazaar raah ki mushkil banein to kyaa in mushkilon kaa hal to miri Thokaron mein hai kaaghaz ke phuul jaise hon guldaan mein saje aisaa hi kuchh khulus kaa jazba dilon mein hai tang aa ke shahr se jo bayaabaan chalaa gayaa shohrat usi ke naam ki aabaadiyon mein hai rukti hai bhigi palkon pe kyon fikr ki nazar kyaa zindagi ki sharh inhin haashiyon mein hai tu ne daghaa jo di to ta'ajjub ki baat kyaa teraa shumaar bhi to mire doston mein hai 'aasif' khirad ki gard pahaaDon pe jam gai garm-e-safar junun kaa lahu vaadiyon mein hai"
ایسا بھی اک شفیق مرے دوستوں میں ہے جس کے کرم کا عکس مرے آنسوؤں میں ہے پتھر ہزار راہ کی مشکل بنیں تو کیا ان مشکلوں کا حل تو مری ٹھوکروں میں ہے کاغذ کے پھول جیسے ہوں گلدان میں سجے ایسا ہی کچھ خلوص کا جذبہ دلوں میں ہے تنگ آ کے شہر سے جو بیاباں چلا گیا شہرت اسی کے نام کی آبادیوں میں ہے رکتی ہے بھیگی پلکوں پہ کیوں فکر کی نظر کیا زندگی کی شرح انہیں حاشیوں میں ہے تو نے دغا جو دی تو تعجب کی بات کیا تیرا شمار بھی تو مرے دوستوں میں ہے آصفؔ خرد کی گرد پہاڑوں پہ جم گئی گرم سفر جنوں کا لہو وادیوں میں ہے
ऐसा भी इक शफ़ीक़ मिरे दोस्तों में है जिस के करम का 'अक्स मिरे आँसुओं में है पत्थर हज़ार राह की मुश्किल बनें तो क्या इन मुश्किलों का हल तो मिरी ठोकरों में है काग़ज़ के फूल जैसे हों गुलदान में सजे ऐसा ही कुछ ख़ुलूस का जज़्बा दिलों में है तंग आ के शह्र से जो बयाबाँ चला गया शोहरत उसी के नाम की आबादियों में है रुकती है भीगी पलकों पे क्यों फ़िक्र की नज़र क्या ज़िंदगी की शरह इन्हीं हाशियों में है तू ने दग़ा जो दी तो त'अज्जुब की बात क्या तेरा शुमार भी तो मिरे दोस्तों में है 'आसिफ़' ख़िरद की गर्द पहाड़ों पे जम गई गर्म-ए-सफ़र जुनूँ का लहू वादियों में है
More on Zindagi
View all →"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"