Quote
"jaane kyaa aas lagaai hai safar se main ne ek tinkaa bhi uThaayaa nahin ghar se main ne varna chup kis se rahaa jaataa hai itnaa arsa tujh ko dekhaa hi nahin aisi nazar se main ne utar aayaa hai harifon ki taraf-daari par vo jise saamne karnaa thaa idhar se main ne yuun na kar vasl ke lamhon ko havas se taabir chand patte hi to toDe hain shajar se main ne dekhni ho kabhi bechaini to un se milnaa jin ko rokaa hai tiri khair-khabar se main ne"
