"shiraaza-e-hayaat ki har shai bikhar gai kyaa ho gayaa vafaa ko mohabbat kidhar gai meri shab-e-firaaq kaa aalam na puchhiye qalb-o-nazar pe ek qayaamat guzar gai kyaa kijiye shikaayat-e-gham-haa-e-rozgaar ye bhi guzar hi jaaegi itni guzar gai dil mein machal ke rah gai sajdon ki aarzu jalve ke intizaar mein taab-e-nazar gai kyaa puchhte ho dair-o-haram ki haqiqatein parde paDe hue the jahaan tak nazar gai 'shaahid' vafaa-shiaaron ko ham ne bhulaa diyaa insaaniyat ke saath sharaafat bhi mar gai"
aur kyaa hogaa dil-e-mahjur ki aaghosh mein — Abdur Rauf Shahid Ansari
"aur kyaa hogaa dil-e-mahjur ki aaghosh mein jal rahaa hai tuur barq-e-tur ki aaghosh mein yuun lagaa rakhi hai dil se zindagi ki aarzu jaise tifl-e-jaan-ba-lab mazdur ki aaghosh mein nuur hi ki justuju mein kaT gai umr-e-aziz dam bhi parvaane kaa niklaa nuur ki aaghosh mein thak gae the justuju mein hazrat-e-insaan ki so gae ham dukhtar-e-angur ki aaghosh mein jaagnaa vaaiz kaa subh-e-hashr tak mumkin nahin soe hain hazrat khayaal-e-hur ki aaghosh mein mere saaghar mein hai 'shaahid' ab vo jaan-e-mai-kadaa gum thi jo khayyaam nishpur ki aaghosh mein"
اور کیا ہوگا دل مہجور کی آغوش میں جل رہا ہے طور برق طور کی آغوش میں یوں لگا رکھی ہے دل سے زندگی کی آرزو جیسے طفل جاں بہ لب مزدور کی آغوش میں نور ہی کی جستجو میں کٹ گئی عمر عزیز دم بھی پروانے کا نکلا نور کی آغوش میں تھک گئے تھے جستجو میں حضرت انسان کی سو گئے ہم دختر انگور کی آغوش میں جاگنا واعظ کا صبح حشر تک ممکن نہیں سوئے ہیں حضرت خیال حور کی آغوش میں میرے ساغر میں ہے شاہدؔ اب وہ جان میکدہ گم تھی جو خیام نیشپور کی آغوش میں
और क्या होगा दिल-ए-महजूर की आग़ोश में जल रहा है तूर बर्क़-ए-तूर की आग़ोश में यूँ लगा रखी है दिल से ज़िंदगी की आरज़ू जैसे तिफ़्ल-ए-जाँ-ब-लब मज़दूर की आग़ोश में नूर ही की जुस्तुजू में कट गई उम्र-ए-अज़ीज़ दम भी परवाने का निकला नूर की आग़ोश में थक गए थे जुस्तुजू में हज़रत-ए-इंसान की सो गए हम दुख़्तर-ए-अंगूर की आग़ोश में जागना वाइज़ का सुब्ह-ए-हश्र तक मुमकिन नहीं सोए हैं हज़रत ख़याल-ए-हूर की आग़ोश में मेरे साग़र में है 'शाहिद' अब वो जान-ए-मै-कदा गुम थी जो ख़य्याम नीशपूर की आग़ोश में
More by Abdur Rauf Shahid Ansari
View all →"dil-e-gharib kahaan paaegaa nishaan apnaa luTaa ke shahr-e-nigaaraan mein kaarvaan apnaa harim-e-naaz se karb-o-alam ke zindaan tak kahaan kahaan na huaa khuun raaegaan apnaa khudaa kaa shukr bajaa laao sokhta jaano zamin dost se kam-tar hai aasmaan apnaa dil-o-nigaah ke sajdon ki baat kar vaaiz jabin-e-shauq ko haasil hai aastaan apnaa kuchh aur zabt se le kaam ai dil-e-naadaan milaa huaa hai raqibon se raaz-daan apnaa gilaa bhi un ke sitam ka na kar sake 'shaahid' hazaar baar liyaa ham ne imtihaan apnaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"