"jahaan-e-rang-o-bu mein thi ye viraani magar kab tak hamaare pyaar ki khushbu na pahunchi thi yahaan jab tak tumhaari maslahat-koshi ko hai meraa salaam ai dil unhein chaahaa unhein puujaa magar dekhaa kahaan ab tak azal ki pyaas honTon par liye phirtaa rahaa naadaan uThaayaa jaam kitnon ne zi-bas pahunchaa kisi lab tak chalo achchhaa huaa tum ne to saare daagh dho Daale mire daaman pe ye dhabbaa rahegaa zau-fishaan kab tak khamoshi ne miri kyaa kah diyaa tujh se ki ai dauraan thame aansu na shabnam ke garebaan-chaak gul kab tak ghalat hai tujh se ummid-e-vafaa ai fitna-e-dauraan yunhi baaqi hain hangaame rahe tu mehrbaan jab tak 'anis' is kaifiyat mein ye ghazal likhnaa qayaamat hai lagegi aag jab dil mein to pahunchegaa dhuaan lab tak"
ba-roz-e-hashr miraa ehtisaab kyaa hogaa — Anees Sultana
"ba-roz-e-hashr miraa ehtisaab kyaa hogaa ki is zamin ke sivaa aur azaab kyaa hogaa mudaam fikr mein be-aql kaa tasalsul-e-kaar kitaab-e-zist kaa aainda baab kyaa hogaa javaan dilon mein faqat nafratein hi milti hain ziyaada is se koi inqalaab kyaa hogaa ataa kiyaa mah-e-kaamil ko ishraton kaa ghurur andheri raat se baDh kar azaab kyaa hogaa tilism-e-kaif-o-nazar muddaaa-e-be-khabari tilism-e-hosh-o-khirad kaa nisaab kyaa hogaa gunaahgaar nazar bhi hai dil ki dhaDkan bhi vo puchh leinge to meraa javaab kyaa hogaa ba-faiz-e-jurat-e-rindaana dekhnaa to 'anis' adaa-shanaason kaa tujh par itaab kyaa hogaa"
بروز حشر مرا احتساب کیا ہوگا کہ اس زمیں کے سوا اور عذاب کیا ہوگا مدام فکر میں بے عقل کا تسلسل کار کتاب زیست کا آئندہ باب کیا ہوگا جواں دلوں میں فقط نفرتیں ہی ملتی ہیں زیادہ اس سے کوئی انقلاب کیا ہوگا عطا کیا مہ کامل کو عشرتوں کا غرور اندھیری رات سے بڑھ کر عذاب کیا ہوگا طلسم کیف و نظر مدعائے بے خبری طلسم ہوش و خرد کا نصاب کیا ہوگا گناہ گار نظر بھی ہے دل کی دھڑکن بھی وہ پوچھ لیں گے تو میرا جواب کیا ہوگا بہ فیض جرأت رندانہ دیکھنا تو انیسؔ ادا شناسوں کا تجھ پر عتاب کیا ہوگا
ब-रोज़-ए-हश्र मिरा एहतिसाब क्या होगा कि इस ज़मीं के सिवा और अज़ाब क्या होगा मुदाम फ़िक्र में बे-अक़्ल का तसलसुल-ए-कार किताब-ए-ज़ीस्त का आइंदा बाब क्या होगा जवाँ दिलों में फ़क़त नफ़रतें ही मिलती हैं ज़ियादा इस से कोई इंक़लाब क्या होगा अता किया मह-ए-कामिल को इशरतों का ग़ुरूर अँधेरी रात से बढ़ कर अज़ाब क्या होगा तिलिस्म-ए-कैफ़-ओ-नज़र मुद्दआ'-ए-बे-ख़बरी तिलिस्म-ए-होश-ओ-ख़िरद का निसाब क्या होगा गुनाहगार नज़र भी है दिल की धड़कन भी वो पूछ लेंगे तो मेरा जवाब क्या होगा ब-फ़ैज़-ए-जुरअत-ए-रिंदाना देखना तो 'अनीस' अदा-शनासों का तुझ पर इताब क्या होगा
More by Anees Sultana
View all →"fareb-e-zaat ke dilkash buton ko kis ne yuun toDaa hamin the jis ne hasti ke haqaaeq se na munh moDaa dar-e-hasrat ye kyaa taktaa hai ai dil nau-ba-nau jalve kisi ki sarfaraazi dekh kar kariye na dil thoDaa ye gham kyaa kam hai ai hamdam ki basti ke ghazaalon ko abhi dasht-e-taghaaful ki tamannaa ne nahin chhoDaa nai divaar uThaa kar ham ye samjhe dil badal Daale magar buniyaad ke patthar ne vo rishta nahin toDaa muqaddar se shikaayat kab talak kariye 'anis' aakhir tumhein paas-e-takalluf ne kisi qaabil nahin chhoDaa"
"chaman chaman mein hain barpaa ye kaise hangaame kali ke titli ke bhaunron ke gul ke hangaame hazaar rang ke phulon se baagh ki zinat bahaar aai to laai hai itne hangaame miri khamoshi ke maa'ni kuchh aur hi samjhe isi liye to uThaae hain itne hangaame vo raah bhuul chuke the main bach ke kyaa karti miri gali mein magar kis qadar the hangaame hui tujhe kabhi ai dil maaal ki parvaah har ek saans ki dhaDkan mein kitne hangaame zaraa pata to lagaa nafraton ke saudaagar uThe hain kaun gali se machaae hangaame hamaari be-khabari hai sazaa hamaare liye andheri raahon mein ugte hain saare hangaame gham-e-hayaat se bachne ke sau bahaane hain aziz-tar hain mujhe zindagi ke hangaame hazaar baar mujhe DhunD kar palaT aae hain kitne zarf-e-nazar shahr ke ye hangaame ye dil ki dast-e-talab kar sakaa kabhi na daraaz na bhuul paayaa kabhi aarzu ke hangaame 'anis' tum ne basaae hain dil ki dhaDkan mein takhayyulaat ke aanchal se le ke hangaame"
"raah kaa har khaar ik din gulsitaan ban jaaegaa zarra zarra khaak kaa phir aasmaan ban jaaegaa nafratein miT jaaeingi harf-e-ghalat ki tarah se haan magar harf-e-ghalat ik daastaan ban jaaegaa bin kahe vo dil ki baatein jaan jaaeinge zarur har-bun-e-mu ek din nok-e-zabaan ban jaaegaa sirf khaakistar nahin hain jaa-ba-jaa chingaariyaan TuTtaa taaraa bhi ik din kahkashaan ban jaaegaa dekhnaa hai khvaab dekho bas isi aiqaan ke saath uThne vaalaa har qadam taaza jahaan ban jaaegaa"
"vo yaqin phir kisi chehre pe nazar aaegaa jo mire khvaab ki taabir sunaa jaaegaa jhiil si aankhon mein khil jaaein umidon ke kanval jin se ye mehr-e-jahaan-taab bhi sharmaaegaa phir likhi jaaegi in chaand se chehron ki kitaab vaqt safhaat palaTtaa huaa rah jaaegaa dard ki shab hai guzar jaaegi pal-do-pal mein ik sitaara sar-e-mizhgaan jo Thahar jaaegaa qahr dhaate hain miri zaat pe sarkash lamhe gar mudaavaa na kiyaa hausla pachhtaaegaa zer-e-khanjar bhi mujhe yaad rahegaa vo shakhs jo miri laash ko apnaa adu Thahraaegaa shaayad is baat kaa ilzaam mujhi par aae gar kabhi koi moarrikh ise dohraaegaa"
"meraa maazi mire chehre se jhalaktaa hai zarur mujh ko haalaat ki garmi ki shikaayat na ghurur maslahat jaan ke kaanTon ki qabaa laae the gul ki rangin-qabaai ko parakhnaa thaa zarur kaun se bhes mein mil jaaein farishte hamdam khidmat-e-ins-o-bashar apnaa fariza hai huzur vaqt ke saath badalne lagaa ehsaas kaa rang mujh ko is baat kaa pahle se na thaa koi shuur baarhaa un ko rag-e-jaan se qarin paayaa hai phir jo dekhaa to nazar aate hain vo aaj bhi duur aap be-vajh 'anis' aaj pareshaan na hon ab kahaan yaad unhein vo dil-e-saada kaa qusur"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"