SHAWORDS

bazm-e-sukhan ko aap ki dil-gir chal paDe — Asif Saqib

HomeAsif SaqibGhazal
"bazm-e-sukhan ko aap ki dil-gir chal paDe 'ghaalib' kai chale hain kai 'mir' chal paDe jannat ki kyaa bisaat ki vo chal ke aaegi meri taraf to vaadi-e-kashmir chal paDe harakat mein aa gae hain sabhi rang-e-khaal-o-khat un ki nazar ke sehr se tasvir chal paDe dekhaa jo mujh ko aap ki palkein jhapak gaiin ik jism-e-naa-tavaan pe kai tiir chal paDe qaidi rihaa hue the pahan kar nae libaas ham to qafas se oDh ke zanjir chal paDe toDaa nahin hai shaakh se khush thi bakaaoli ham le ke us ke phuul ki tasvir chal paDe puchaa kisi ne aap ko jaanaa hai kis taraf ham log su-e-vaadi-e-kashmir chal paDe 'saaqib' ham apne gaanv ki barbaadiyon ke baad is dil mein le ke hasrat-e-taamir chal paDe"
Urdu

بزم سخن کو آپ کی دلگیر چل پڑے غالبؔ کئی چلے ہیں کئی میرؔ چل پڑے جنت کی کیا بساط کہ وہ چل کے آئے گی میری طرف تو وادئ کشمیر چل پڑے حرکت میں آ گئے ہیں سبھی رنگ خال و خط ان کی نظر کے سحر سے تصویر چل پڑے دیکھا جو مجھ کو آپ کی پلکیں جھپک گئیں اک جسم ناتواں پہ کئی تیر چل پڑے قیدی رہا ہوئے تھے پہن کر نئے لباس ہم تو قفس سے اوڑھ کے زنجیر چل پڑے توڑا نہیں ہے شاخ سے خوش تھی بکاؤلی ہم لے کے اس کے پھول کی تصویر چل پڑے پوچھا کسی نے آپ کو جانا ہے کس طرف ہم لوگ سوئے وادئ کشمیر چل پڑے ثاقبؔ ہم اپنے گاؤں کی بربادیوں کے بعد اس دل میں لے کے حسرت تعمیر چل پڑے

Hindi

बज़्म-ए-सुख़न को आप की दिल-गीर चल पड़े 'ग़ालिब' कई चले हैं कई 'मीर' चल पड़े जन्नत की क्या बिसात कि वो चल के आएगी मेरी तरफ़ तो वादी-ए-कश्मीर चल पड़े हरकत में आ गए हैं सभी रंग-ए-ख़ाल-ओ-ख़त उन की नज़र के सेहर से तस्वीर चल पड़े देखा जो मुझ को आप की पलकें झपक गईं इक जिस्म-ए-ना-तावाँ पे कई तीर चल पड़े क़ैदी रिहा हुए थे पहन कर नए लिबास हम तो क़फ़स से ओढ़ के ज़ंजीर चल पड़े तोड़ा नहीं है शाख़ से ख़ुश थी बकाउली हम ले के उस के फूल की तस्वीर चल पड़े पूछा किसी ने आप को जाना है किस तरफ़ हम लोग सू-ए-वादी-ए-कश्मीर चल पड़े 'साक़िब' हम अपने गाँव की बर्बादियों के ब'अद इस दिल में ले के हसरत-ए-तामीर चल पड़े

bazm-e-suḳhan ko aap kī dil-gīr chal paḌe
A
Asif Saqib
Asif Saqib
poet16 quotes

More by Asif Saqib

View all →
Quote
"kise majaal jo Toke miri uDaanon ko main khaaksaar samajhtaa huun aasmaanon ko sanad khulus ki maange na mujh se mustaqbil main saath le ke chalaa huun gae zamaanon ko zamin bik gai saari adu ke paas miri duaaein detaa huun main aap ke lagaanon ko nazar ki had mein simaT aae ajnabi chehre talaash karne jo niklaa main mehrbaanon ko sameT le gae sab rahmatein kahaan mehmaan makaan kaaTtaa phirtaa hai mezbaanon ko main sang-e-mil ke reze sambhaal luun 'saaqib' safar ki laaj samajhtaa huun in nishaanon ko"
A
Asif Saqib
Quote
"dil ki maujon ki taDap meri sadaa mein aae daaere karb ke phaile to havaa mein aae mere haathon hi ne aaina dikhaayaa thaa mujhe kitne mushkil the taqaaze jo duaa mein aae ham gharibi mein bhi meaar-e-safar rakhte hain girte paDte hi sahi apni anaa mein aae in se ham sher ki taasir baDhaa lete hain kaise lahje tire aanchal ki havaa mein aae vo to pahchaan ki mauhum nazar rakhtaa hai ham yunhi saamne zakhmon ki qabaa mein aae aakhiri sher ki manzil bhi kaDi hai 'saaqib' soch ke kitne safar zehn-e-rasaa mein aae"
A
Asif Saqib
Quote
"apne bhaai se ye gham-khvaari misaali hai miri apne haq se dast-bardaari misaali hai miri apni barbaadi ke kaaghaz par kiye hain dastakhat sab qabile mein ziyaan kaari misaali hai miri dushmani ke qaaedon se naa-balad huun main magar ye samajh lein aap bhi yaari misaali hai miri chithaDon ke rauzanon se surkhiyon ki jhalkiyaan saadgi mein aisi purkaari misaali hai miri aap ki shaahi se apni ye faqiri come nahin raakh aur patthar pe sardaari misaali hai miri dil ki har divaar hi divaar-e-girya hai mujhe ek dariyaa huun azaa-daari misaali hai miri khush-gumaani aur baDh jaaegi is ke vaar se main vo mukhlis huun vafaadaari misaali hai miri"
A
Asif Saqib
Quote
"ojhal hui nazar se be-baal-o-par gai hai lafzon ki be-karaani baston mein bhar gai hai divaar-e-dil pe ab tak ham dekhte rahe hain tasvir kis ki laTki kis ki utar gai hai us ki gali mein ham par patthar baras paDe the jaisaa guzar huaa thaa vaisi guzar gai hai jab DhunDte rahe the utni khabar nahin thi ham mein kidhar se aai duniyaa kidhar gai hai bhaagi thi ik hasina baaghon ke shor-o-ghul se us ki balaa javaani bachchon se Dar gai hai hai chal-chalaav kaisaa kaisaa hai aanaa-jaanaa vo shaam jaa chuki thi ab vo sahar gai hai siine ke biich 'saaqib' aisaa hai marnaa jiinaa ik yaad ji uThi thi ik yaad mar gai hai"
A
Asif Saqib
Quote
"jhankaar hai maujon ki bahte hue paani se zanjir machal jaae qadmon ki ravaani se ik mauj-e-sabaa bhejun afkaar ke zindaan ko jo lafz chhuDaa laae pur-pech maaani se kitni hai paDi mushkil din phirte hain aakhir mein main ne ye sabaq sikhaa bachchon ki kahaani se tafsil se likkhaa thaa jab naama mohabbat kaa 'ghaalib' ko gharaz kyaa thi paighaam-e-zabaani se ji kartaa hai mar jaaein ab lauT ke ghar jaaein jannat kaa khayaal aae gandum ki giraani se khushbu ko uDaane mein ye raat ki chori kyuun puchhe to koi jaa kar us raat ki raani se kis darja munaafiq hain sab ahl-e-havas 'saaqib' andar se to patthar hain aur lagte hain paani se"
A
Asif Saqib

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil