"lafzon ki tasvir banaati dil mein qaid hui ek samay vo achchhi laDki dil mein qaid hui kore kaaghaz par kheinchi thi main ne ik tasvir jangal jangal uDti titli dil mein qaid hui us ke baad vahi tasvirein sab ko dikhaataa huun khvaabon ki vo duniyaa saari dil mein qaid hui dil ko dukhaati hai phir bhi kyuun achchhi lagti hai yaadon ki ye shaam suhaani dil mein qaid hui kaun saa taaraa us kaa ghar hai soch rahaa thaa main raat pari aangan mein utri dil mein qaid hui aavaara baadal the ham bhi kyaa karte aakhir ek kiran ghar mein le aai dil mein qaid hui"
chaand un aankhon ne dekhaa aur hai — Jayant Parmar
"chaand un aankhon ne dekhaa aur hai shahr-e-dil pe jagmagaataa aur hai lams ki vo raushni bhi bujh gai jism ke andar andheraa aur hai ai samundar raasta denaa mujhe lauh-e-jaan pe naam likkhaa aur hai vo jo chiDiyaa naachti hai shaakh par us ke andar ek chiDiyaa aur hai moD par ruk jaae ki kachchi saDak saath chaltaa hai vo rasta aur hai hijr ke saae na tasvir-e-khizaan yaar us ke ghar kaa rasta aur hai taaliyon se hall saaraa bhar gayaa jaantaa huun sher sachchaa aur hai"
چاند ان آنکھوں نے دیکھا اور ہے شہر دل پہ جگمگاتا اور ہے لمس کی وہ روشنی بھی بجھ گئی جسم کے اندر اندھیرا اور ہے اے سمندر راستہ دینا مجھے لوح جاں پہ نام لکھا اور ہے وہ جو چڑیا ناچتی ہے شاخ پر اس کے اندر ایک چڑیا اور ہے موڑ پر رک جائے کہ کچی سڑک ساتھ چلتا ہے وہ رستہ اور ہے ہجر کے سائے نہ تصویر خزاں یار اس کے گھر کا رستہ اور ہے تالیوں سے ہال سارا بھر گیا جانتا ہوں شعر سچا اور ہے
चाँद उन आँखों ने देखा और है शहर-ए-दिल पे जगमगाता और है लम्स की वो रौशनी भी बुझ गई जिस्म के अंदर अंधेरा और है ऐ समुंदर रास्ता देना मुझे लौह-ए-जाँ पे नाम लिक्खा और है वो जो चिड़िया नाचती है शाख़ पर उस के अंदर एक चिड़िया और है मोड़ पर रुक जाए कि कच्ची सड़क साथ चलता है वो रस्ता और है हिज्र के साए न तस्वीर-ए-ख़िज़ाँ यार उस के घर का रस्ता और है तालियों से हॉल सारा भर गया जानता हूँ शेर सच्चा और है

More by Jayant Parmar
View all →"ghubaar-e-jaan se sitaaraa nikalnaa chaahtaa hai ye aasmaan bhi karvaT badalnaa chaahtaa hai mire lahu kaa samundar uchhalnaa chaahtaa hai ye chaand mere badan mein pighalnaa chaahtaa hai siyaah dasht mein imkaan-e-raushni bhi nahin magar ye haath andhere mein jalnaa chaahtaa hai har ek shaakh ke haathon mein phuul mahkeinge khizaan kaa peD bhi kapDe badalnaa chaahtaa hai bahut kaThin hai ki saansein bhi baar lagti hain miraa vajud bhi nuqte mein Dhalnaa chaahtaa hai"
"jugnu thaa taaraa thaa kyaa thaa darvaaze par kaun khaDaa thaa sadiyaan bitin darvaaze par kaam faqat to pal bhar kaa thaa phansi hui thi Dor pankh mein ik chiDiyaa kaa haal buraa thaa sab kuchh zer zabar kar Daalaa tez havaa ko kis se gila thaa patton ne jab miTTi bajaai main ik misra DhunD rahaa thaa nazm ke raushan sayyaare par main ne apnaa naam likhaa thaa main ne apnaa naam likhaa thaa jugnu thaa taaraa thaa kyaa thaa"
"us ne mazaaq samjhaa miraa dil dukhaa gayaa phir mom-battiyon ko hamesha bujhaa gayaa niklaa thaa khud ko DhunDne us regzaar mein maayus ho ke raasta vaapas chalaa gayaa ik ik gali mein DhunD rahi thi havaa mujhe lahron ke saath saath miraa naqsh-e-paa gayaa bistar pe leTe leTe miri aankh lag gai ye kaun mere kamre ki batti bujhaa gayaa sataa rahaa thaa lawn mein sab kaam chhoD kar jhonkaa havaa kaa aayaa aur hans kar chalaa gayaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"