"tere be-rabt bayaanaat se khauf aataa hai mujh ko ab shahr ke haalaat se khauf aataa hai avval avval main samajhtaa thaa masihaa tujh ko munsifaa ab tiri har baat se khauf aataa hai ham junun-khez mizaajon ko nahin taab-e-shuur vaaiz-e-shahr ke khutbaat se khauf aataa hai haan mujhe gosha-nashini se bahut ulfat thi ab magar shorish-e-jazbaat se khauf aataa hai pahle suntaa thaa baDe shauq se afsaana miraa ab use meri hikaayaat se khauf aataa hai meri aankhon mein talaatum tiri aankhon mein sukun bas mujhe aise tazaadaat se khauf aataa hai"
chal mire saath zaraa ho ke najaf aate hain — Ahmad Aqeel
"chal mire saath zaraa ho ke najaf aate hain ye vo basti hai jahaan ahl-e-sharaf aate hain teri aavaaz pe dauDe hue aaeinge ham jaise azaan pe masjid ki taraf aate hain tu zaraa taal baDhaa kar koi misraa to uThaa kis tarah dekhnaa ham dast-ba-daf aate hain teri aankhein hain chhalakte hue jaamon ki sharaab tu bulaae to ba-sad-shauq-o-shaghaf aate hain tujh ko paane ke liye ham ne chunaa hai sahraa dekh divaane hain aur su-e-hadaf aate hain tez lahje mein koi tujh se mukhaatib ho to ham aankh mein khuun bhare tegh-ba-kaf aate hain"
چل مرے ساتھ ذرا ہو کے نجف آتے ہیں یہ وہ بستی ہے جہاں اہل شرف آتے ہیں تیری آواز پہ دوڑے ہوئے آئیں گے ہم جیسے اذان پہ مسجد کی طرف آتے ہیں تو ذرا تال بڑھا کر کوئی مصرع تو اٹھا کس طرح دیکھنا ہم دست بدف آتے ہیں تیری آنکھیں ہیں چھلکتے ہوئے جاموں کی شراب تو بلائے تو بصد شوق و شغف آتے ہیں تجھ کو پانے کے لئے ہم نے چنا ہے صحرا دیکھ دیوانے ہیں اور سوئے ہدف آتے ہیں تیز لہجے میں کوئی تجھ سے مخاطب ہو تو ہم آنکھ میں خون بھرے تیغ بکف آتے ہیں
चल मिरे साथ ज़रा हो के नजफ़ आते हैं ये वो बस्ती है जहाँ अहल-ए-शरफ़ आते हैं तेरी आवाज़ पे दौड़े हुए आएँगे हम जैसे अज़ान पे मस्जिद की तरफ़ आते हैं तू ज़रा ताल बढ़ा कर कोई मिस्रा तो उठा किस तरह देखना हम दसत-ब-दफ़ आते हैं तेरी आँखें हैं छलकते हुए जामों की शराब तू बुलाए तो ब-सद-शौक़-ओ-शग़फ़ आते हैं तुझ को पाने के लिए हम ने चुना है सहरा देख दीवाने हैं और सू-ए-हदफ़ आते हैं तेज़ लहजे में कोई तुझ से मुख़ातिब हो तो हम आँख में ख़ून भरे तेग़-ब-कफ़ आते हैं

More by Ahmad Aqeel
View all →"aalam-e-zaat mein jhaanko koi kab achchhaa hai dekhne vaale samajhte hain ki sab achchhaa hai rone lagtaa huun to aate hain dilaase dene sher paDhtaa huun to kahte hain ajab achchhaa hai jaantaa huun tu kisi aur se mil kar khush hai chal tire pyaar mein marne kaa sabab achchhaa hai jab faqiron ki bhi kirdaar-kushi ki tu ne kaise maanegaa koi teraa nasab achchhaa hai haal puchhaa thaa kisi ne tire didaar ke baad baaein pahlu ko dabaayaa kahaa ab achchhaa hai aakhiri baar milaa baiThaa rahaa saari raat jaane vaale ki inaayaat kaa Dhab achchhaa hai tu vo dipak hai ki shaidaai hazaaron jis ke mujh se be-yaar-o-madadgaar kaa rab achchhaa hai"
"dil ke ghaav bhi kaam aaein mujhe dekh kar log muskuraaein mujhe vo hi duniyaa vahi puraanaa-pan yaa-khudaa kuchh nayaa dikhaaein mujhe lauT aaungaa sab bhulaa dungaa sarsari saa agar bulaaein mujhe baa-vazu bazm-e-yaar mein jaaun aayat-e-vasl gar sunaaein mujhe baDi mushkil se aa ke baiThaa huun dard uThte hain mat uThaaein mujhe aankh rone kaa maangti hai khiraaj ab vo aa kar gale lagaaein mujhe"
"vo kisi aur samt jaate rahe ham faqat apnaa dil jalaate rahe us ki angDaai kyaa qayaamat thi ham nae zaaviye banaate rahe har taraf raat kaa nazaara thaa dil banaa kar diyaa jalaate rahe us ke lahje se lag rahaa thaa ki ham pattharon ko ghazal sunaate rahe ham faqat zaahidaan-e-khushk nahin baat bigDi hui banaate rahe us ki aankhein thiin aam si aankhein ham-sukhan yunhi Dagmagaate rahe duniyaa roti rahi magar ham log qahqahon mein kasak chhupaate rahe"
"ye tarz-e-takallum hai tiraa ham-nafasaan se tu dekh rahaa hai nazar-e-sud-o-ziyaan se tahqir miri is se sivaa bazm mein kyaa ho main tujh se mukhaatib tu fulaan-ibn-e-fulaan se kyaa maarka-e-tur bapaa hone lagaa hai ik shoala lapaktaa hai mire qalb-e-tapaan se mai-khaana-e-ajmer se vo rang hai mafqud ab shikva mujhe kuchh bhi nahin pir-e-mughaan se farhaad ki masnad pe agar baiThnaa chaahe phir soch ki buniyaad uThaa koh-e-giraan se hanste hue karnaa hai rafu zakhm-e-jigar kaa kuchh kaam nahin bantaa yahaan aah-o-fughaan se shaair huun marungaa to kisi Dhab se marungaa ai dost koi rail guzarti hai yahaan se"
"khud ko har din nai turbat pe khaDaa paate hain ashk-e-khun-rang bhi ab khatm hue chaahte hain bazm-e-hasti mein qayaamat kaa samaan lagtaa hai log uThte hain aur uThte hi chale jaate hain dil ko hai taab-o-tavaan aur na aankhon ko majaal qadam uThte hain to pichhe ki taraf aate hain baat banti nazar aati nahin is aalam mein ab kisi aur hi duniyaa ki havaa khaate hain haadisa ye hai ki mahbub hamein mil na sakaa aur paa sakte nahin vo jinhein ham bhaate hain ab kisi bu se lagaao nahin hotaa ham ko musht-e-khaak-e-dar-e-sarkaar uThaa laate hain"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"