SHAWORDS

chamak rahi hai jo aankhon mein raushni ki tarah — Aadil Shah

HomeAadil ShahGhazal
"chamak rahi hai jo aankhon mein raushni ki tarah vo dil pe chhaai hui hai kisi pari ki tarah lagaa ke dil ko sajaati hai khvaab ke jaale chhupi hui hai khayaalon mein chaandni ki tarah qadam jo rakhti hai dharti pe guunj uThti hai ki jaise saaz baje koi raagni ki tarah vo ek lamha ki jis mein milaa thaa tu mujh se abhi bhi zinda hai dil mein kisi sadi ki tarah nigaah Daale jo pal bhar vo meri jaanib bhi sameT luun main vo lamha kisi khushi ki tarah"
Urdu

چمک رہی ہے جو آنکھوں میں روشنی کی طرح وہ دل پہ چھائی ہوئی ہے کسی پری کی طرح لگا کے دل کو سجاتی ہے خواب کے جالے چھپی ہوئی ہے خیالوں میں چاندنی کی طرح قدم جو رکھتی ہے دھرتی پہ گونج اٹھتی ہے کہ جیسے ساز بجے کوئی راگنی کی طرح وہ ایک لمحہ کہ جس میں ملا تھا تو مجھ سے ابھی بھی زندہ ہے دل میں کسی صدی کی طرح نگاہ ڈالے جو پل بھر وہ میری جانب بھی سمیٹ لوں میں وہ لمحہ کسی خوشی کی طرح

Hindi

चमक रही है जो आँखों में रौशनी की तरह वो दिल पे छाई हुई है किसी परी की तरह लगा के दिल को सजाती है ख़्वाब के जाले छुपी हुई है ख़यालों में चाँदनी की तरह क़दम जो रखती है धरती पे गूँज उठती है कि जैसे साज़ बजे कोई रागनी की तरह वो एक लम्हा कि जिस में मिला था तू मुझ से अभी भी ज़िंदा है दिल में किसी सदी की तरह निगाह डाले जो पल भर वो मेरी जानिब भी समेट लूँ मैं वो लम्हा किसी ख़ुशी की तरह

chamak rahī hai jo āñkhoñ meñ raushnī kī tarah
Aadil Shah
Aadil Shah
Aadil Shah
poet4 quotes

More by Aadil Shah

View all →
Quote
"dil ke har zakhm ko ik saaz banaayaa jaae aur phir mahfil-e-jaanaan mein sunaayaa jaae ek qatre pe hi mastaana huaa hai koi baada-khvaaron mein nayaa jaam uThaayaa jaae chaak-daamaani ki tohmat to puraani hai sanam ab koi taaza sitam aur kamaayaa jaae tujh ko paane ki talab mein jo ganvaa baiThe hain vo khasaara bhi zamaane ko bataayaa jaae ham se puchho to vafaaon kaa saliqa kyaa hai us ki har baat ko siine se lagaayaa jaae jitni unchi ho anaa utnaa hi laazim hai miyaan us ko ab khaak ke zarron pe giraayaa jaae tujh ko taufiq mili hai jo sukhan ki 'aadil' is ki khush-bu se har ik dil ko basaayaa jaae"
Aadil ShahAadil Shah
Quote
"har moD par fareb hi khaanaa paDaa mujhe sach bolne kaa bojh uThaanaa paDaa mujhe qissa tumhaari yaad kaa jab bhi chhiDaa kahin mahfil se uTh ke duur hi jaanaa paDaa mujhe vo khvaab jis ki koi bhi taa'bir hi na thi bojh us kaa 'umr bhar hi uThaanaa paDaa mujhe ik naam thaa jo dil ki lakiron mein qaid thaa apne hi haathon us ko miTaanaa paDaa mujhe kuchh aise bhi maqaam mile raah-e-'ishq mein patthar ki tarh khud ko banaanaa paDaa mujhe puchhaa kisi ne hans ke jo barbaadi kaa sabab apnaa hi naam sab ko bataanaa paDaa mujhe main kaanch kaa makaan thaa patthar ke shahr mein har zakhm apne dil mein chhupaanaa paDaa mujhe apne hi 'aks se mujhe vahshat si ho gai aaina apne ghar se haTaanaa paDaa mujhe 'aadil' gunaah-gaar thaa sharminda ho gayaa sajdon mein apne rab ko manaanaa paDaa mujhe"
Aadil ShahAadil Shah
Quote
"tumhaare naam se mahke hain sab gulzaar ruh-e-man tumhaari yaad se raushan hain sab ash'aar ruh-e-man gulaabon mein tumhaari narm palkon ki jhalak paai chamaktaa chaand nargis aur rukh-e-dil-daar ruh-e-man suman ke lab pe Thahri hai hayaa ki shokh khushbu bhi hasin kaliyon mein hai 'aks-e-lab-o-guftaar ruh-e-man mahak jaati hain raahein jab tumhaari diid hoti hai ki jaise mushk bikhri ho sar-e-baazaar ruh-e-man nazar uThti nahin jugnu se chamke tere 'aariz par ki jaise raat mein khilte hon sab anvaar ruh-e-man ye duniyaa baagh ho yaa phir chaman ho tum jahaan rakh do vahin par khil uThegaa rang kaa sansaar ruh-e-man mohabbat be-hisaab aisi ki main ne ai nigaar-e-jaan ghazal kaa main ne rakkhaa hai radif is baar ruh-e-man hai 'aadil' kaa bhi dil mahv-e-tamannaa ai mataa'-e-zist tire dam se hai qaaem husn kaa me'yaar ruh-e-man"
Aadil ShahAadil Shah

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari