"fasil-e-jism ki unchaai se utar jaaein to is kharaabe se ham log phir kidhar jaaein havaa bataati hai guzregaa kaarvaan koi kuchh aur der isi raah par Thahar jaaein tamaam din to lahu chaaTtaa rahaa suraj hui hai shaam chalo apne apne ghar jaaein kabhi to koi lahu ke diye jalaaegaa chalo nishaan-e-qadam apnaa chhoD kar jaaein abhi sadaa na do kuchh der aur suraj ko ye jitni sukhi hui naddiyaan hain bhar jaaein ye shash-jihat to bas ik naqsh-e-paa kaa vaqfa hai tumhin bataao kahaan aa ke ham Thahar jaaein 'ayaaz' ham ko na apnaa saki kabhi duniyaa vahi sadaa hai taaaqub mein ham jidhar jaaein"
daastaan-e-dard-e-dil ahl-e-vafaa kahne lage — Ghulam Husain Ayaz
"daastaan-e-dard-e-dil ahl-e-vafaa kahne lage yaani har aavaaz ko teri sadaa kahne lage lijiye phir toD di yaaron ne zanjir-e-sukut lijiye ham zindagi kaa marsiya kahne lage ye bhi apni tang-nazari ki hai ik vaazeh dalil ham jo har chehre ko ab ik aaina kahne lage phir nai tahzib kaa ik baab raushan ho gayaa log phir ab daastaan-e-irtiqaa kahne lage itni aavaara-mizaaji bhi 'ayaaz' achchhi nahin dekh tere baare mein ab log kyaa kahne lage"
داستان درد دل اہل وفا کہنے لگے یعنی ہر آواز کو تیری صدا کہنے لگے لیجئے پھر توڑ دی یاروں نے زنجیر سکوت لیجئے ہم زندگی کا مرثیہ کہنے لگے یہ بھی اپنی تنگ نظری کی ہے اک واضح دلیل ہم جو ہر چہرے کو اب اک آئنہ کہنے لگے پھر نئی تہذیب کا اک باب روشن ہو گیا لوگ پھر اب داستان ارتقا کہنے لگے اتنی آوارہ مزاجی بھی ایازؔ اچھی نہیں دیکھ تیرے بارے میں اب لوگ کیا کہنے لگے
दास्तान-ए-दर्द-ए-दिल अहल-ए-वफ़ा कहने लगे या'नी हर आवाज़ को तेरी सदा कहने लगे लीजिए फिर तोड़ दी यारों ने ज़ंजीर-ए-सुकूत लीजिए हम ज़िंदगी का मर्सिया कहने लगे ये भी अपनी तंग-नज़री की है इक वाज़ेह दलील हम जो हर चेहरे को अब इक आइना कहने लगे फिर नई तहज़ीब का इक बाब रौशन हो गया लोग फिर अब दास्तान-ए-इर्तिक़ा कहने लगे इतनी आवारा-मिज़ाजी भी 'अयाज़' अच्छी नहीं देख तेरे बारे में अब लोग क्या कहने लगे
More by Ghulam Husain Ayaz
View all →"ziist kaa khaali kaToraa aap hi bhar jaaegaa apne hi jaisaa kisi din vo mujhe kar jaaegaa shahr mein koi na rah paaegaa benaam-o-nishaan jis taraf shishe ki yurish hogi patthar jaaegaa naddiyaan ab bhaagti phirti hain sahraa ki taraf ab to dariyaa ke taaaqub mein samundar jaaegaa kho chuke hain log apne apne chehron kaa vaqaar jo bhi jaaegaa tiraa ham-shakl ban kar jaaegaa vo utarvaa legaa honTon se libaas-e-khaamushi vo yahaan koi na koi gul khilaa kar jaaegaa main huun apne daur ke ik saahab-e-fan kaa kamaal aane vaalaa mujh pe do aansu bahaa kar jaaegaa jitni duuri se sadaa dete hain mujh ko vo 'ayaaz' us bulandi par kahaan meraa muqaddar jaaegaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"