SHAWORDS

daastaan-e-shabaab kyaa kahiye — Kirpal Singh Bedar

"daastaan-e-shabaab kyaa kahiye nit-nayaa inqilaab kyaa kahiye jo nazar hi nazar mein hote hain vo savaal-o-javaab kyaa kahiye ik nafas zabt ik nafas fariyaad zindagi kaa hisaab kyaa kahiye dekhte bhi hain dekhte bhi nahin is adaa kaa javaab kyaa kahiye rang-e-rukh aur bhi chamak uTThaa un ki shaan-e-‘itaab kyaa kahiye aaj-kal mein guzar gae barson aaj-kal kaa hisaab kyaa kahiye un pe aakhir nigaah jaa Thahri haae ye intikhaab kyaa kahiye zindagi aur 'aashiqi bedaar ye do-guna 'azaab kyaa kahiye"
Urdu

داستان شباب کیا کہئے نت نیا انقلاب کیا کہئے جو نظر ہی نظر میں ہوتے ہیں وہ سوال و جواب کیا کہئے اک نفس ضبط اک نفس فریاد زندگی کا حساب کیا کہئے دیکھتے بھی ہیں دیکھتے بھی نہیں اس ادا کا جواب کیا کہئے رنگ رخ اور بھی چمک اٹھا ان کی شان عتاب کیا کہئے آج کل میں گزر گئے برسوں آج کل کا حساب کیا کہئے ان پہ آخر نگاہ جا ٹھہری ہائے یہ انتخاب کیا کہئے زندگی اور عاشقی بیدارؔ یہ دوگونہ عذاب کیا کہئے

Hindi

दास्तान-ए-शबाब क्या कहिए नित-नया इंक़िलाब क्या कहिए जो नज़र ही नज़र में होते हैं वो सवाल-ओ-जवाब क्या कहिए इक नफ़स ज़ब्त इक नफ़स फ़रियाद ज़िंदगी का हिसाब क्या कहिए देखते भी हैं देखते भी नहीं इस अदा का जवाब क्या कहिए रंग-ए-रुख़ और भी चमक उट्ठा उन की शान-ए-‘इताब क्या कहिए आज-कल में गुज़र गए बरसों आज-कल का हिसाब क्या कहिए उन पे आख़िर निगाह जा ठहरी हाए ये इंतिख़ाब क्या कहिए ज़िंदगी और 'आशिक़ी बेदार ये दो-गूना 'अज़ाब क्या कहिए

dāstān-e-shabāb kyā kahiye
Kirpal Singh Bedar
Kirpal Singh Bedar
Kirpal Singh Bedar
poet1 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar