SHAWORDS

dekhe jo ek baar rukh-e-yaar ki taraf — Ahmad Mahfuz

HomeAhmad MahfuzGhazal
"dekhe jo ek baar rukh-e-yaar ki taraf phir umr-bhar na jaae vo gulzaar ki taraf ho dekhnaa jise mizha-e-yaar ki taraf dekhe vo pahle khanjar-e-khun-khaar ki taraf apni jagah se ham nahin uTThe ye soch kar dil hai to khud hi jaaegaa dildaar ki taraf kis ke nasib jaagne vaale hain kyaa khabar rah rah ke dekhte hain vo talvaar ki taraf us dar pe kaun hai ki vahaan se koi sadaa aa aa ke lauT jaati hai divaar ki taraf mailaan-e-taba-e-yaar ajab hai ki in dinon apnon hi ki taraf hai na aghyaar ki taraf iqraar ki dikhaa koi surat ki ai khudaa munh pher kar vo baiThe hain inkaar ki taraf rahmat tiri sahaaraa bani varna hashr mein koi nahin thaa mujh se gunahgaar ki taraf 'mahfuz' takht-gaah-e-qanaaat hai aur ham kyon uTh ke jaaein ab kisi darbaar ki taraf"
Urdu

دیکھے جو ایک بار رخ یار کی طرف پھر عمر بھر نہ جائے وہ گلزار کی طرف ہو دیکھنا جسے مژۂ یار کی طرف دیکھے وہ پہلے خنجر خوں خار کی طرف اپنی جگہ سے ہم نہیں اٹھے یہ سوچ کر دل ہے تو خود ہی جائے گا دل دار کی طرف کس کے نصیب جاگنے والے ہیں کیا خبر رہ رہ کے دیکھتے ہیں وہ تلوار کی طرف اس در پہ کون ہے کہ وہاں سے کوئی صدا آ آ کے لوٹ جاتی ہے دیوار کی طرف میلان طبع یار عجب ہے کہ ان دنوں اپنوں ہی کی طرف ہے نہ اغیار کی طرف اقرار کی دکھا کوئی صورت کہ اے خدا منہ پھیر کر وہ بیٹھے ہیں انکار کی طرف رحمت تری سہارا بنی ورنہ حشر میں کوئی نہیں تھا مجھ سے گنہ گار کی طرف محفوظؔ تخت گاہ قناعت ہے اور ہم کیوں اٹھ کے جائیں اب کسی دربار کی طرف

Hindi

देखे जो एक बार रुख़-ए-यार की तरफ़ फिर उम्र-भर न जाए वो गुलज़ार की तरफ़ हो देखना जिसे मिज़ा-ए-यार की तरफ़ देखे वो पहले ख़ंजर-ए-ख़ूँ-ख़ार की तरफ़ अपनी जगह से हम नहीं उट्ठे ये सोच कर दिल है तो ख़ुद ही जाएगा दिलदार की तरफ़ किस के नसीब जागने वाले हैं क्या ख़बर रह रह के देखते हैं वो तलवार की तरफ़ उस दर पे कौन है कि वहाँ से कोई सदा आ आ के लौट जाती है दीवार की तरफ़ मैलान-ए-तब्अ'-ए-यार अजब है कि इन दिनों अपनों ही की तरफ़ है न अग़्यार की तरफ़ इक़रार की दिखा कोई सूरत कि ऐ ख़ुदा मुँह फेर कर वो बैठे हैं इंकार की तरफ़ रहमत तिरी सहारा बनी वर्ना हश्र में कोई नहीं था मुझ से गुनहगार की तरफ़ 'महफ़ूज़' तख़्त-गाह-ए-क़नाअत है और हम क्यों उठ के जाएँ अब किसी दरबार की तरफ़

dekhe jo ek baar ruḳh-e-yār kī taraf
Ahmad Mahfuz
Ahmad Mahfuz
Ahmad Mahfuz
poet90 quotes

More by Ahmad Mahfuz

View all →
Quote
"kyaa hijr mein taskin ki surat nahin rahti rahti hai magar teri badaulat nahin rahti ab jaise koi kaam hi ruktaa nahin apnaa ab jaise kisi shai ki zarurat nahin rahti duniyaa se guzar jaate hain duniyaa ki talab mein duniyaa se hamein koi shikaayat nahin rahti vo mauj-e-sad-aavaaz bulaati to hai ab bhi mujh ko hi udhar jaane ki fursat nahin rahti naagin ki tarah raat simaT aati hai dil mein jab saamne ik chaand si surat nahin rahti kahte the bahut dil na lagaa kaar-e-havas mein le dekh ki is shauq mein izzat nahin rahti"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari