SHAWORDS

dekhiye us ko to har baat gul-e-tar ki tarah — Khalid Yusuf

HomeKhalid YusufGhazal
"dekhiye us ko to har baat gul-e-tar ki tarah baat kiije to vahi shakhs hai patthar ki tarah aql hairaan hai kin alfaaz mein taarif karun husn aur vo bhi chhalakte hue saaghar ki tarah barq-e-guftaar sahi shoala vo talvaar sahi ham magar zarf bhi rakhte hain samundar ki tarah aazmaaoge to ham jaan se guzar jaaeinge kaaghzi sher nahin hain kisi afsar ki tarah dil ko bahlaate hain afsaana-e-aazaadi se ham ne ik tauq pahan rakkhaa hai zevar ki tarah raaj karte hain vahi log dilon par 'khaalid' bakhsh dete hain jo dushman ko sikandar ki tarah"
Urdu

دیکھیے اس کو تو ہر بات گل تر کی طرح بات کیجے تو وہی شخص ہے پتھر کی طرح عقل حیراں ہے کن الفاظ میں تعریف کروں حسن اور وہ بھی چھلکتے ہوئے ساغر کی طرح برق گفتار سہی شعلہ وہ تلوار سہی ہم مگر ظرف بھی رکھتے ہیں سمندر کی طرح آزماؤ گے تو ہم جاں سے گزر جائیں گے کاغذی شیر نہیں ہیں کسی افسر کی طرح دل کو بہلاتے ہیں افسانۂ آزادی سے ہم نے اک طوق پہن رکھا ہے زیور کی طرح راج کرتے ہیں وہی لوگ دلوں پر خالدؔ بخش دیتے ہیں جو دشمن کو سکندر کی طرح

Hindi

देखिए उस को तो हर बात गुल-ए-तर की तरह बात कीजे तो वही शख़्स है पत्थर की तरह अक़्ल हैराँ है किन अल्फ़ाज़ में तारीफ़ करूँ हुस्न और वो भी छलकते हुए साग़र की तरह बर्क़-ए-गुफ़तार सही शो'ला वो तलवार सही हम मगर ज़र्फ़ भी रखते हैं समुंदर की तरह आज़माओगे तो हम जाँ से गुज़र जाएँगे काग़ज़ी शेर नहीं हैं किसी अफ़सर की तरह दिल को बहलाते हैं अफ़साना-ए-आज़ादी से हम ने इक तौक़ पहन रक्खा है ज़ेवर की तरह राज करते हैं वही लोग दिलों पर 'ख़ालिद' बख़्श देते हैं जो दुश्मन को सिकंदर की तरह

dekhiye us ko to har baat gul-e-tar kī tarah
K
Khalid Yusuf
Khalid Yusuf
poet17 quotes

More by Khalid Yusuf

View all →
Quote
"har ek shakhs ko ik tantane mein rakhti hai vo bhaant bhaant ki machhli ghaDe mein rakhti hai tamaam shahr ke daanishvaron ko vo zaalim asir-e-zulf kiye aasare mein rakhti hai vo gaaliyaan bhi agar de to sher-o-naghma lage zabaan mein loch ajab sur gale mein rakhti hai use sharaab-e-tuhuraa kaa tazkira bhi gunaah ye baat aur hai sab ko nashe mein rakhti hai har ik ko dard ki lazzat se aashnaa kar ke maze mein rahti hai sab ko maze mein rakhti hai samajh ke haq vo har ehsaan bhuul jaati hai magar har ek khataa haafize mein rakhti hai use khabar hai ki anjaam-e-vasl kyaa hogaa vo qurbaton ki tapish faasle mein rakhti hai sukun ke saae mein shaayad use bhulaa baiThe mudaam shahr ko ik zalzale mein rakhti hai"
K
Khalid Yusuf
Quote
"uqaab dil ho to saaraa jahaan ek saa hai zamin koi bhi ho aasmaan ek saa hai koi Thikaana vatan kaa badal nahin hotaa muhaajiron ke liye har makaan ek saa hai taayyunaat-e-ilaaqa briaadri firqe sipaah-e-jahl kahin ho nishaan ek saa hai vo koi saahab-e-jaagir ho ki mullaa ho magar hamaare liye qahrmaan ek saa hai nigaah masnad-e-aalaa pe roz-e-avval se dayaar-e-yaar kaa har paasbaan ek saa hai panaah daaman-e-qaanun mein na masjid mein hamaare shahr mein har saaebaan ek saa hai hamaari aankh kaa taaraa vo ho nahin saktaa tamaam bazm pe jo mehrbaan ek saa hai faluja-o-najaf-o-karbalaa se pahle vo samajh rahe the ki har be-zabaan ek saa hai hazaar baar bhi luT kar sabaq nahin sikhaa vafaa ke shahr mein har khush-gumaan ek saa hai jihaad-e-saif ho 'khaalid' ki ho jihaad-e-qalam kisi zabaan mein ho imtihaan ek saa hai"
K
Khalid Yusuf
Quote
"vajh-e-rusvaai hai ab laaeq-e-mahfil honaa un ki fahrist-e-tabarraa mein na shaamil honaa fan kaa daavaa hai to kuchh jurat-e-izhaar bhi ho zeb detaa nahin fankaar ko buzdil honaa madh-e-gul-chin ho jahaan maslak-e-murghaan-e-chaman ham ko manzur nahin fakhr-e-anaadil honaa apni pahchaan hai vo qarya-e-taarik jahaan munsifon ko bhi mayassar nahin aadil honaa mere sheron ne use soch mein Daalaa to sahi nek hai dil mein bhi razm-e-haq-o-baatil honaa chaand nikle to sahi baam pe kuchh shor to ho kuchh zaruri to nahin hai mah-e-kaamil honaa na siyaasat na maishat na ba-naam-e-mazhab ab gavaaraa nahin paaband-e-salaasil honaa saaneha is se baDaa aur bhalaa kyaa hogaa 'khaalid' us shokh ke qabze mein miraa dil honaa"
K
Khalid Yusuf
Quote
"ahd-e-khurshid mein zarron ki haqiqat kyaa hai gard to aap hi chhaT jaaegi ujlat kyaa hai baat kiije jo ujaalon ki to vo kahte hain vasl ki raat ujaale ki zarurat kyaa hai chand be-zor shajar chand khilaae hue phuul aur gulchin ki gulistaan pe inaayat kyaa hai kuchaa-e-zahr-e-faroshaan mein nikal aayaa huun kucha-e-yaar mein suqraat ki qimat kyaa hai raakh ho jaate hain kitne hi usulon ke charaagh tab kahin jaa ke khabar hoti hai shohrat kyaa hai hai mire sher mein kuchh us ki shabaahat varna phuul kyaa chiiz hain kaliyon ki sabaahat kyaa hai dil qalandar ho to insaan sitaaron se buland afsari jaah-o-hasham daulat-o-shohrat kyaa hai sar vahi hai jo kisi taaj kaa muhtaaj na ho zulf-e-jaanaan nazar aae to hukumat kyaa hai ho jise jurat-e-inkaar mayassar 'khaalid' us ko miTTi ke khilaunon ki zarurat kyaa hai"
K
Khalid Yusuf
Quote
"bane jo shams-o-qamar nang-e-aasmaan nikle jinhein charaagh samajhte rahe dhuaan nikle zaraa si der mein ik rind ho gayaa momin yaqin use bhi na thaa ham bhi khush-gumaan nikle na ham mein jauhar-e-'ghaalib' na un mein shaan-e-'zafar' to kis qusur mein koi qasida-khvaan nikle kisi ki chaah mein jab jaan bhi ham ganvaa aae to lutf-e-yaar ke qisse kahaan kahaan nikle main sochtaa huun ki taarikh kyaa kahegi hamein sahar ba-dosh chale shab ke paasbaan nikle hadaf hamin ko banaanaa ki mo'atabar Thahro is anjuman mein agar zikr-e-dostaan nikle jo sang-e-mil the be-aabru hue 'khaalid' jo gard-e-paa bhi na the mir-e-kaarvaan nikle"
K
Khalid Yusuf
Quote
"vafaa ke naam pe rakkhi hain tohmatein kyaa kyaa bigaaD di hain zamaane ne suratein kyaa kyaa hamin pe dosh hai un ki qazaa namaazon kaa janaab-e-shaikh ne DhunDin vazaahatein kyaa kyaa baDe khulus se ik shahr-e-gul ujaaD liyaa hui hain ahl-e-nazar se himaaqatein kyaa kyaa fareb-e-sim-o-javaahar hue hain naam-o-numud khayaal-e-yaar se uljhi hain zulmatein kyaa kyaa vo mehrbaan to na thaa par khulus bhi na rahaa paDi hain ghair ki sohbat mein aadatein kyaa kyaa zabaan-e-qaatil-o-maqtul par hai ek hi naam khudaa ke naam pe guzrin qayaamatein kyaa kyaa baDhaa ke halqa-e-rindaan ki ranjishein 'khaalid' sitamgaron ne nikaali hain hasratein kyaa kyaa"
K
Khalid Yusuf

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil